patthar jab miTTi ban jae
maiñ jab Tharrā pī kar bahkūñ
apne aap se bāhar niklūñ
tum jab shauhar se uktāo
apne aap meñ vāpas jaao
qismat ko koso bahlāo
maañ banñe kā Dhoñg rachāo
apne andar kī
bhūkī mamtā
bāhar ke bachchoñ meñ bāñTo
takiya bhīñche
nangī chhat par so jaao
maiñ be-qābū apnī chhat se
tumhārī nangī chhat par kūdūñ
chāñdnī chāñdnī tum ko chūmūñ
miTTī miTTī tum ko gūñdhūñ
niiñd bharī āñkhoñ se jāgūñ
aur tumhārā shauhar nīche kamre meñ
adh-nangī tasvīroñ se lipTe siske
rūmānī ash'ār likhe kaaTe
mustaqbil muTThī meñ bhīñche
maazī ke tārīk siyah-ḳhānoñ meñ gum ho jaa.e
nīm-jān sā bistar par paḌ jaa.e
ham miTTī kī mūrat phir kis ke ḳhauf se kāñpeñge
patthar jab miTTī ban jaa.e
main jab Tharra pi kar bahkun
apne aap se bahar niklun
tum jab shauhar se uktao
apne aap mein wapas jao
qismat ko koso bahlao
man banne ka Dhong rachao
apne andar ki
bhuki mamta
bahar ke bachchon mein banTo
takiya bhinche
nangi chhat par so jao
main be-qabu apni chhat se
tumhaari nangi chhat par kudun
chandni chandni tum ko chumun
miTTi miTTi tum ko gundhun
nind bhari aankhon se jagun
aur tumhaara shauhar niche kamre mein
adh-nangi taswiron se lipTe siske
rumani ash'ar likhe kaTe
mustaqbil muTThi mein bhinche
mazi ke tarik siyah-KHanon mein gum ho jae
nim-jaan sa bistar par paD jae
hum miTTi ki murat phir kis ke KHauf se kanpenge
patthar jab miTTi ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.