patthar ke us but ki kahani
safar merā agarche manzil aur anjām kī ḳhushiyoñ se aarī thā
magar chalnā muqaddar thā
ki mere aur us ke darmiyāñ jo muḳhtasar sā fāsla thā vo na miTtā thā
mujhe us ke ta.āqub meñ na jaane kitne sadiyoñ se baras biite
na jaane kitne sahrāoñ bayābānoñ
na jaane kitne shahroñ aur vīrānoñ se maiñ guzrā
na jaane kitnī āvāzoñ ne mujh ko roknā chāhā
safar mera agarche manzil aur anjam ki KHushiyon se aari tha
magar chalna muqaddar tha
ki mere aur us ke darmiyan jo muKHtasar sa fasla tha wo na miTta tha
mujhe us ke taaqub mein na jaane kitne sadiyon se baras bite
na jaane kitne sahraon bayabanon
na jaane kitne shahron aur viranon se main guzra
na jaane kitni aawazon ne mujh ko rokna chaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.