patthar ki zanjir
kaise chheḌūñ hāthoñ se maiñ
chīḳhoñ kā ye saaz
shāhī dar par kyā apnā.ūñ
fariyādī andāz
jumbish kā ehsās na koī
maddham sī āvāz
Thahre lamhe ke qisse meñ
āḳhir na āġhāz
shorish gar āġhāz kare to
munsif kare savāl
pūchhe to maiñ kholūñ saare
zālim shab ke raaz
raaz khuleñ to shāyad apnī
khul jaa.e taqdīr
lekin behis aadil ghar meñ
ek vahī tāḳhīr
muddat se hai ye bhī sākin
aur maiñ bhī tasvīr
munsif ke ghar par āvezāñ
patthar kī zanjīr
kaise chheDun hathon se main
chiKHon ka ye saz
shahi dar par kya apnaun
fariyaadi andaz
jumbish ka ehsas na koi
maddham si aawaz
Thahre lamhe ke qisse mein
aaKHir na aaghaz
shorish gar aaghaz kare to
munsif kare sawal
puchhe to main kholun sare
zalim shab ke raaz
raaz khulen to shayad apni
khul jae taqdir
lekin behis aadil ghar mein
ek wahi taKHir
muddat se hai ye bhi sakin
aur main bhi taswir
munsif ke ghar par aawezan
patthar ki zanjir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.