patton pe likha nauha
agar ḳhaak par ḳhema-e-gul lage
to use yaad karnā
agar shab ke pichhle pahar ek raushan sitāra shān-e-safar ho
to ḳhud apne hone kā ehsās jaage
zamīñ aañkh khole
to phir vo kahānī sune
jis ko sunte hue pichhlī shab us ko niiñd aa ga.ī thī
dhueñ aur kaa.ī kā ham-rang mausam
purāne libāde utāre
hare ḳhvāb pahne
to ye dard kī ḳhastagī ham-nashīnī kī lazzat se sarshār ho
ghane jañgaloñ se agar koī jhoñkā
guzarte hue jholiyāñ bhar ke patte luTā.e
agar kishvar-e-ḳhvāb par koī shab-ḳhūn maare
use yaad karnā
use yaad rakhnā
agar KHak par KHema-e-gul lage
to use yaad karna
agar shab ke pichhle pahar ek raushan sitara shan-e-safar ho
to KHud apne hone ka ehsas jage
zamin aankh khole
to phir wo kahani sune
jis ko sunte hue pichhli shab us ko nind aa gai thi
dhuen aur kai ka ham-rang mausam
purane libaade utare
hare KHwab pahne
to ye dard ki KHastagi ham-nashini ki lazzat se sarshaar ho
ghane jangalon se agar koi jhonka
guzarte hue jholiyan bhar ke patte luTae
agar kishwar-e-KHwab par koi shab-KHun mare
use yaad karna
use yaad rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.