payam-e-hasti
tabassum kī havas ho barq ke āsār paidā kar
jo gar ye aarzū ho chashm-e-dariyā-bār paidā kar
maraz hī kyā mudāvā jis kā āsāñ ho tabīboñ par
na pahchāne masīhā jis ko vo āzār paidā kar
tujhe ai dil adū ko ho agar chubhtī huī kahnā
to har har harf meñ tezī-e-nok-e-ḳhār paidā kar
agar is majlis-getī meñ auroñ ko rulātā hai
dil-e-dard-āshnā-o-dīda-e-ḳhūñ-bār paidā kar
tujhe ye himmat-e-mardāna kahtī hai ki aisā dil
jo qabl az-maut hī marne pe ho tayyār paidā kar
tanāza-lil-baqā jaarī hai to maidān-e-hastī meñ
na ho jis kī sipar aisī koī talvār paidā kar
baqā-e-aqviyā ke mas.ala par bahas se pahle
tan-e-sohrāb-o-zor-e-haidar-e-karrār paidā kar
jo is aalam meñ chalnā hai tujhe hukm-e-a.iddū par
to istedād-e-dafa.a-e-hamla-e-aġhyār paidā kar
agar manzūr hai tujh ko mile aalam kī chaupānī
to apne paañv meñ phir gardish-e-parkār paidā kar
agar hai chūknā manzūr qurāñ kī tilāvat se
barā-e-zaḳhm-e-ġhaflat marham-e-zangār paidā kar
agar terī tamanna hai ki shāyān-e-ḳhilāfat ho
to shauq-e-bandagī-e-vāhid-e-qahhār paidā kar
tabassum ki hawas ho barq ke aasar paida kar
jo gar ye aarzu ho chashm-e-dariya-bar paida kar
maraz hi kya mudawa jis ka aasan ho tabibon par
na pahchane masiha jis ko wo aazar paida kar
tujhe ai dil adu ko ho agar chubhti hui kahna
to har har harf mein tezi-e-nok-e-KHar paida kar
agar is majlis-geti mein auron ko rulata hai
dil-e-dard-ashna-o-dida-e-KHun-bar paida kar
tujhe ye himmat-e-mardana kahti hai ki aisa dil
jo qabl az-maut hi marne pe ho tayyar paida kar
tanaza-lil-baqa jari hai to maidan-e-hasti mein
na ho jis ki sipar aisi koi talwar paida kar
baqa-e-aqwiya ke masala par bahas se pahle
tan-e-sohrab-o-zor-e-haidar-e-karrar paida kar
jo is aalam mein chalna hai tujhe hukm-e-aiddu par
to istedad-e-dafa-e-hamla-e-aghyar paida kar
agar manzur hai tujh ko mile aalam ki chaupani
to apne panw mein phir gardish-e-parkar paida kar
agar hai chukna manzur quran ki tilawat se
bara-e-zaKHm-e-ghaflat marham-e-zangar paida kar
agar teri tamanna hai ki shayan-e-KHilafat ho
to shauq-e-bandagi-e-wahid-e-qahhaar paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.