payam-e-watan
rāhat tire hī dars se paatā hai kul-jahāñ
sar terī azmatoñ pe jhukātā hai āsmāñ
gūñjā yahīñ se amn-o-amāñ kā payām hai
is vāste jahāñ meñ tirā ehtirām hai
jo terī mahfiloñ se uThī vo sadā hai ye
duniyā bane bahisht tirā mudda.ā hai ye
fitne kā shar kā buġhz-o-hasad kā ġhanīm hai
tū bhī aziim qaum bhī terī aziim hai
aalam ba-sad-ḳhulūs jhukā.e na kyoñ jabīñ
tahzīb-o-ilm-o-fan kā hai gahvāra-e-hasīñ
sho.aloñ ko sard karne ke sāmāñ kiye hue
sab ahl-e-dil haiñ ek hī jazba liye hue
paiġhām hai ki ātish-e-nafrat meñ mat jalo
zulmat meñ sham.a-e-uns farozāñ kiye chalo
har-dam baqā-e-dahr pe chashm-e-bashar rahe
māzī-o-hāl-o-fardā pe gahrī nazar rahe
dil dil se multafit ho mohabbat do-chand ho
insān kā vaqār jahāñ meñ buland ho
dar dar kī ḳhaak koī kahīñ chhāntā na ho
ġhurbat hai chiiz kyā ye koī jāntā na ho
chehre pe rang aa.e ye ġhuncha khilā rahe
gulshan hayāt-e-insāñ kā phūlā phulā rahe
āgāh mā-o-tū se kisī kī zabāñ na ho
tafrīq-e-rang-o-nasl kā nām-o-nishāñ na ho
duniyā se duur jang-o-jadal kā dhuāñ rahe
ghar meñ galī meñ gaañv meñ amn-o-amāñ rahe
raushan 'jamāl' dahr meñ bhārat kā naam hai
har lab pe aaj mere vatan kā payām hai
rahat tere hi dars se pata hai kul-jahan
sar teri azmaton pe jhukata hai aasman
gunja yahin se amn-o-aman ka payam hai
is waste jahan mein tera ehtiram hai
jo teri mahfilon se uThi wo sada hai ye
duniya bane bahisht tera muddaa hai ye
fitne ka shar ka bughz-o-hasad ka ghanim hai
tu bhi azim qaum bhi teri azim hai
aalam ba-sad-KHulus jhukae na kyon jabin
tahzib-o-ilm-o-fan ka hai gahwara-e-hasin
shoalon ko sard karne ke saman kiye hue
sab ahl-e-dil hain ek hi jazba liye hue
paigham hai ki aatish-e-nafrat mein mat jalo
zulmat mein shama-e-uns farozan kiye chalo
har-dam baqa-e-dahr pe chashm-e-bashar rahe
mazi-o-haal-o-farda pe gahri nazar rahe
dil dil se multafit ho mohabbat do-chand ho
insan ka waqar jahan mein buland ho
dar dar ki KHak koi kahin chhanta na ho
ghurbat hai chiz kya ye koi jaanta na ho
chehre pe rang aae ye ghuncha khila rahe
gulshan hayat-e-insan ka phula phula rahe
aagah ma-o-tu se kisi ki zaban na ho
tafriq-e-rang-o-nasl ka nam-o-nishan na ho
duniya se dur jang-o-jadal ka dhuan rahe
ghar mein gali mein ganw mein amn-o-aman rahe
raushan 'jamal' dahr mein bhaarat ka nam hai
har lab pe aaj mere watan ka payam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.