payam
hindū ko rām-rām musalmān ko salām
sab ke liye hai merā mohabbat-bharā payām
pesha hai merā chāk-e-jigar kī rafū-garī
ukhḌe hue diloñ kī marammat hai merā kaam
bandoñ se bad-sulūkī hai merī nazar meñ jurm
nafrat kisī se merī sharī.at meñ hai harām
nisbat hai mai-kade se ziyāda bhale mujhe
dair-o-haram kā bhī hai barābar hī ehtirām
ulfat butoñ se aur aqīdat ḳhudā se hai
hai darmiyān-e-kāfir-o-momin mirā maqām
ḳhvāhish nahīñ hai qurbat-e-masnad kī kuchh mujhe
jamhūr kī hai sirf amānat mirā kalām
suntā huuñ ġhaur se maiñ nasīhat sabhī kī par
merā zamīr hī hai mirā rahbar-o-imām
zor-e-sitam ke aage jhukā.ūñ na sar kabhī
aa.e jo pesh pyaar se us kā huuñ maiñ ġhulām
hindu ko ram-ram musalman ko salam
sab ke liye hai mera mohabbat-bhara payam
pesha hai mera chaak-e-jigar ki rafu-gari
ukhDe hue dilon ki marammat hai mera kaam
bandon se bad-suluki hai meri nazar mein jurm
nafrat kisi se meri shariat mein hai haram
nisbat hai mai-kade se ziyaada bhale mujhe
dair-o-haram ka bhi hai barabar hi ehtiram
ulfat buton se aur aqidat KHuda se hai
hai darmiyan-e-kafir-o-momin mera maqam
KHwahish nahin hai qurbat-e-masnad ki kuchh mujhe
jamhur ki hai sirf amanat mera kalam
sunta hun ghaur se main nasihat sabhi ki par
mera zamir hi hai mera rahbar-o-imam
zor-e-sitam ke aage jhukaun na sar kabhi
aae jo pesh pyar se us ka hun main ghulam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.