pech-o-tab
phir tasavvur khā rahā hai pech-o-tāb
phir vahī haijān-o-harkat karb-o-dard-o-iztirāb
phir vahī dhuñdle nuqush-e-māh-o-sāl
phir vahī sub.h-e-bahārāñ phir vahī shām-e-visāl
phir vahī biite hue lamhoñ kī yaad
phir vahī maujeñ vahī kashtī vahī bād-e-murād
phir vahī raqs-e-sharār-e-zindagī
phir vahī husn-e-latāfat-rez kī tābindagī
phir vahī va.adoñ pe lutf-e-intizār
phir vahī chashm-e-suḳhan-go ke ishāre bār-bār
phir vahī dard-e-musalsal kī kasak
phir vahī mauj-e-tabassum-hā-e-pinhāñ kī jhalak
phir vahī aish-o-tarab kā ehtimām
phir vahī bazm-e-tamannā phir vahī sāqī-o-jām
phir vahī āġhāz-e-ulfat kā surūr
phir vahī yādoñ ke saa.e zehn meñ nazdīk-o-dūr
phir vahī shorish vahī josh-o-ḳharosh
phir kahīñ dīvāngī taarī na ho ai dil ḳhamosh
phir tasawwur kha raha hai pech-o-tab
phir wahi haijaan-o-harkat karb-o-dard-o-iztirab
phir wahi dhundle nuqush-e-mah-o-sal
phir wahi subh-e-bahaaran phir wahi sham-e-visal
phir wahi bite hue lamhon ki yaad
phir wahi maujen wahi kashti wahi baad-e-murad
phir wahi raqs-e-sharar-e-zindagi
phir wahi husn-e-latafat-rez ki tabindagi
phir wahi wadon pe lutf-e-intizar
phir wahi chashm-e-suKHan-go ke ishaare bar-bar
phir wahi dard-e-musalsal ki kasak
phir wahi mauj-e-tabassum-ha-e-pinhan ki jhalak
phir wahi aish-o-tarab ka ehtimam
phir wahi bazm-e-tamanna phir wahi saqi-o-jam
phir wahi aaghaz-e-ulfat ka surur
phir wahi yaadon ke sae zehn mein nazdik-o-dur
phir wahi shorish wahi josh-o-KHarosh
phir kahin diwangi tari na ho ai dil KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.