peD kaToge
bhiiḌ se ye kahā tathāgat ne
peḌ kāTo.ge kyā milegā tumheñ
sirf lakḌī jalāne kī ḳhātir
jhaaḌ jhankāḌ murda pattoñ kā
koñpleñ pattiyāñ ghanī shāḳheñ
chāroñ jānib zamīñ pe bikhrī huiiñ
ghoñsle bikhre TūTe-phūTe hue
un parindoñ ke jo haiñ ab be-ghar
peḌ kāTo.ge kyā gañvāoge
chhāñv jo dhuup kī tamāzat meñ
ek chādar kī tarh bichhtī thī
garmiyoñ kī bharī do-pahrī meñ
leT kar jis pe dekhte the tum
saiñkaḌoñ chhatriyoñ sī jaise tanī
peḌ kī sabz shāḳhoñ kā ḳhema
garm lū se najāt paate the
peḌ kaTne se ye chhatar-chhāyā
ab kahāñ hai batāo logo mujhe
phal jo har āte-jāte mausam meñ
saare gaañv ke kaam aate the
aam injīr ber jāmun seb
nāriyal sañgtara anaar khajūr
be-dhiyānī meñ sab gañvā baiThe
bhiiḌ se ye kahā tathāgat ne
peḌ bhaa.ī haiñ dost sāthī haiñ
in ko mat kaaTo in se pyaar karo
bhiD se ye kaha tathagat ne
peD kaToge kya milega tumhein
sirf lakDi jalane ki KHatir
jhaD jhankaD murda patton ka
konplen pattiyan ghani shaKHen
chaaron jaanib zamin pe bikhri huin
ghonsle bikhre TuTe-phuTe hue
un parindon ke jo hain ab be-ghar
peD kaToge kya ganwaoge
chhanw jo dhup ki tamazat mein
ek chadar ki tarh bichhti thi
garmiyon ki bhari do-pahri mein
leT kar jis pe dekhte the tum
sainkaDon chhatriyon si jaise tani
peD ki sabz shaKHon ka KHema
garm lu se najat pate the
peD kaTne se ye chhatar-chhaya
ab kahan hai batao logo mujhe
phal jo har aate-jate mausam mein
sare ganw ke kaam aate the
aam injir ber jamun seb
nariyal sangtara anar khajur
be-dhiyani mein sab ganwa baiThe
bhiD se ye kaha tathagat ne
peD bhai hain dost sathi hain
in ko mat kaTo in se pyar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.