peD ki shaKHon par
peḌ kī shāḳhoñ par
āvezāñ
kuchh lamhe pyaar ke
chhoTe chhoTe gulābī ruī ke
gāloñ kī tarah
ka.ī baar
apne lab-o-ruḳhsār se saTā kar
un ke ḳhargoshī lams ko
mahsūs karnā chāhā hai
aur chāhā hai
kaale dhabīle ākāsh par
chhiTakte chamkīle dā.eroñ ko
āñkhoñ meñ bharnā
jab kabhī barastī barsāt meñ
dard kā paimāna chhalkā hai
tab ākāsh ke dhabbe
ek dūsre meñ mudġham ho ga.e haiñ
sofe par adh-leTī
coffē ke pyāle meñ
maiñ in sab ko
saaf saaf
Dūbte ubharte dekh rahī huuñ
peD ki shaKHon par
aawezan
kuchh lamhe pyar ke
chhoTe chhoTe gulabi rui ke
galon ki tarah
kai bar
apne lab-o-ruKHsar se saTa kar
un ke KHargoshi lams ko
mahsus karna chaha hai
aur chaha hai
kale dhabile aakash par
chhiTakte chamkile daeron ko
aankhon mein bharna
jab kabhi barasti barsat mein
dard ka paimana chhalka hai
tab aakash ke dhabbe
ek dusre mein mudgham ho gae hain
sofe par adh-leTi
coffee ke pyale mein
main in sab ko
saf saf
Dubte ubharte dekh rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.