Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chacha nehru ka KHat bachchon ke nam

Zafar Gorakhpuri

chacha nehru ka KHat bachchon ke nam

Zafar Gorakhpuri

MORE BYZafar Gorakhpuri

    mire aziiz vatan ke aziiz farzando

    mire vatan na.ī sub.h ke naqīb ho tum

    bichhaḌ ke tum se ka.ī saal ho chuke haiñ magar

    gumān hotā hai ab tak mire qarīb ho tum

    divāliyāñ hoñ ki ii.deñ ḳhushī manā lenā

    kabhī ye dil meñ na laanā ki bad-gumāñ huuñ maiñ

    tum is yaqīn ko dil se nikālnā na kabhī

    ki duur rah ke bhī tum sab ke darmiyāñ huuñ maiñ

    maiñ jāntā huuñ judā.ī dukh bahut hogā

    tum apne dukh ko amal se miTā bhī sakte ho

    agarche duur huuñ tum se bahut duur magar

    mujhe talāsh karo tum to bhī sakte

    tumheñ milūñgā maiñ gañgā shoḳh maujoñ meñ

    vo shoḳh maujeñ jinhoñ ne mujhe qarār diyā

    tumheñ milūñgā himāla sabz-vādī meñ

    tamām umr mujhe jis ne maañ pyaar diyā

    tumheñ milūñgā maiñ khetoñ garm miTTī meñ

    kisān apnā pasīna jahāñ bahāte haiñ

    tumheñ milūñgā mashīnoñ ke darmiyān jahāñ

    hazāroñ haath na.ī qismateñ banāte haiñ

    tumheñ milūñgā maiñ kāshī sarhadoñ meñ kabhī

    kabhī milūñgā maiñ ajmer ke gulistāñ meñ

    kabhī charāġh mānind shab ke siine par

    kabhī gulāb sūrat vatan ke dāmāñ meñ

    mere aziz watan ke aziz farzando

    mere watan ki nai subh ke naqib ho tum

    bichhaD ke tum se kai sal ho chuke hain magar

    guman hota hai ab tak mere qarib ho tum

    diwaliyan hon ki iden KHushi mana lena

    kabhi ye dil mein na lana ki bad-guman hun main

    tum is yaqin ko dil se nikalna na kabhi

    ki dur rah ke bhi tum sab ke darmiyan hun main

    main jaanta hun judai ka dukh bahut hoga

    tum apne dukh ko amal se miTa bhi sakte ho

    agarche dur hun tum se bahut hi dur magar

    mujhe talash karo tum to pa bhi sakte

    tumhein milunga main ganga ki shoKH maujon mein

    wo shoKH maujen jinhon ne mujhe qarar diya

    tumhein milunga himala ki sabz-wadi mein

    tamam umr mujhe jis ne man ka pyar diya

    tumhein milunga main kheton ki garm miTTi mein

    kisan apna pasina jahan bahate hain

    tumhein milunga mashinon ke darmiyan jahan

    hazaron hath nai qismaten banate hain

    tumhein milunga main kashi ki sarhadon mein kabhi

    kabhi milunga main ajmer ke gulistan mein

    kabhi charagh ki manind shab ke sine par

    kabhi gulab ki surat watan ke daman mein

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now