dilip-kumar ki aaKHiri KHwahish
le chalo dosto
le chalo qissa-ḳhvānī ke bāzār meñ
us mohalle ḳhudā-dād kī ik shikasta galī ke muqaffal makāñ meñ
ki muddat se vīrāñ kueñ kī zamīñ chāTtī pyaas ko dekh kar apnī tishna-labī bhuul jā.ūñ
ġhuTarġhūñ kī āvāz Darboñ se aatī huī sun ke
koThe pe jā.ūñ kabūtar uḌā.ūñ
kisī baaġh se ḳhushk mevoñ kī sauġhāt le kar sadā.eñ lagā.ūñ
zabānoñ ke roġhan ko zaitūn ke zā.iqe se milā.ūñ
jamī sardiyoñ meñ galī ke usī taḳht par narm kirnoñ se chehre pe surḳhī sajā.ūñ
ki yāroñ kī un Toliyoñ meñ na.ī dāstāneñ sunā.ūñ
unhī pān-dānoñ se laalī churā.ūñ
mujhe un purānī sī rāhoñ meñ phir le chalo dosto
haañ mujhe le chalo us basantī dulārī madhu kī galī meñ
ki ḳhvāboñ kī vo raushnī aaj bhī merī āñkhoñ meñ ābād hai
mere kānoñ meñ us ke tarannum kī ghanTī
sahīfoñ kī sūrat utārī ga.ī hai
sabhī ko bulāo ki naġhma-sarā.ī kā ye marhala āḳhirī hai
bulāo mire raaj ko
āḳhirī shab hai
phir se hasīnoñ ke jhurmuT meñ bas āḳhirī ghūñT pī ke
fanā ghāTiyoñ meñ
maiñ yuuñ phail jā.ūñ ki vāpas na aa.uuñ
suno dosto
le chalo dosto
le chalo qissa-KHwani ke bazar mein
us mohalle KHuda-dad ki ek shikasta gali ke muqaffal makan mein
ki muddat se viran kuen ki zamin chaTti pyas ko dekh kar apni tishna-labi bhul jaun
ghuTarghun ki aawaz Darbon se aati hui sun ke
koThe pe jaun kabutar uDaun
kisi bagh se KHushk mewon ki saughat le kar sadaen lagaun
zabanon ke roghan ko zaitun ke zaiqe se milaun
jami sardiyon mein gali ke usi taKHt par narm kirnon se chehre pe surKHi sajaun
ki yaron ki un Toliyon mein nai dastanen sunaun
unhi pan-danon se lali churaun
mujhe un purani si rahon mein phir le chalo dosto
han mujhe le chalo us basanti dulari madhu ki gali mein
ki KHwabon ki wo raushni aaj bhi meri aankhon mein aabaad hai
mere kanon mein us ke tarannum ki ghanTi
sahifon ki surat utari gai hai
sabhi ko bulao ki naghma-sarai ka ye marhala aaKHiri hai
bulao mere raj ko
aaKHiri shab hai
phir se hasinon ke jhurmuT mein bas aaKHiri ghunT pi ke
fana ghaTiyon mein
main yun phail jaun ki wapas na aaun
suno dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.