gopal mittal dehli ke nam
ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai
kyuuñ lutf nazar aap kā nā-chīz pe kam hai
vallāh ki haiñ aap bhī ik zinda ajā.ib
sahrā meñ azaañ de ke kahāñ ho ga.e ġhā.eb
maanā ki mire shahar se dillī hai bahut duur
jaise ki rah-o-rasm-e-vafā se dil-e-maḳhmūr
ye baat kahe kaun
jañgal meñ agar bel pakā hai to chakhe kaun
sahrā meñ jo gūñjī hai vo āvāz sune kaun
jab tak nahīñ pahuñche dil-e-sāhib nazar un tak
shorīda-sarāñ tak
āvāz-e-azāñ kyā
gul-bāñg-e-fuġhāñ kyā
maiñ kaan meñ uñglī diye baiThā to nahīñ huuñ
bahrā to nahīñ huuñ
go haath meñ jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai
phir ġhaib sabab kyuuñ
is banda-e-nāchīz pe taḳhfīf-e-karam hai
ye bhī nahīñ kahtā ki mujhe muft hī bhejeñ
taufīq ba-andāza-e-himmat kā huuñ qaa.il
maiñ aap kī derīna sharāfat kā huuñ qaa.il
har haal meñ rāzī-ba-razā huuñ
hadiya bhī adā karne se inkār nahīñ hai
aapas meñ takalluf kī dīvār nahīñ hai
phir mujh pe taġhāful kī nazar kyuuñ hai jafā kyuuñ
ye hazrat-e-'maḳhmūr'-sa.īdī kī adā hai
ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai
kyun lutf nazar aap ka na-chiz pe kam hai
wallah ki hain aap bhi ek zinda ajaib
sahra mein azan de ke kahan ho gae ghaeb
mana ki mere shahar se dilli hai bahut dur
jaise ki rah-o-rasm-e-wafa se dil-e-maKHmur
ye baat kahe kaun
jangal mein agar bel paka hai to chakhe kaun
sahra mein jo gunji hai wo aawaz sune kaun
jab tak nahin pahunche dil-e-sahib nazar un tak
shorida-saran tak
aawaz-e-azan kya
gul-bang-e-fughan kya
main kan mein ungli diye baiTha to nahin hun
bahra to nahin hun
go hath mein jumbish nahin aankhon mein to dam hai
phir ghaib sabab kyun
is banda-e-nachiz pe taKHfif-e-karam hai
ye bhi nahin kahta ki mujhe muft hi bhejen
taufiq ba-andaza-e-himmat ka hun qail
main aap ki derina sharafat ka hun qail
har haal mein raazi-ba-raza hun
hadiya bhi ada karne se inkar nahin hai
aapas mein takalluf ki diwar nahin hai
phir mujh pe taghaful ki nazar kyun hai jafa kyun
ye hazrat-e-'maKHmur'-saidi ki ada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.