mir
shāhid-e-bazm-e-suḳhan nāzūra-e-ma.anī-tarāz
ai ḳhudā-e-reḳhta paiġhambar-e-soz-o-gudāz
yūsuf-e-mulk-e-ma.ānī pīr-e-kan.ān-e-suḳhan
hai tirī har bait ahl-e-dard ko bait-ul-huzan
ai shahīd-e-jalva-e-mānī faqīr-e-be-niyāz
is tarah kis ne kahī hai dāstān-e-soz-o-sāz
hai adab urdu kā nāzāñ jis pe vo hai terī zaat
sar-zamīn-e-sher par ai chashma-e-āb-e-hayāt
tafta-dil āshufta-sar ātish-navā be-ḳheshtan
aah terī sīna-soz aur naala terā dil-shikan
ḳhatm tujh par ho gayā lutf-e-bayān-e-āshiqī
marhabā ai vāqif-e-rāz-e-nihān-e-āshiqī
sar-zamīn-e-sher ka.aba aur tū is kā ḳhalīl
shāḳh-e-tūbā-e-suḳhan par hamnavā-e-jibra.īl
josh-e-istiġhnā tirā tere liye vaj.h-e-nashāt
shān-e-ḳhuddārī tirī ā.īna-dār-e-ehtiyāt
bazm se guzrā kamāl-e-faqr dikhlātā huā
tāj-e-shāhī pā-e-istiġhnā se Thukrātā huā
thā dimāġh-o-dil meñ sahbā-e-qanāt kā surūr
thī javāb-e-satvat-e-shāhī tirī tab-e-ġhayūr
mauja-e-bahr-e-qanāt terī abrū kī shikan
taḳht-e-shāhī par hasīr-e-faqr terā ḳhanda-zan
thā ye jauhar terī fitrī shā.irī ke rutba-dāñ
izzat-e-fan thī tirī nāzuk-mizājī meñ nihāñ
multafit kartā tujhe kyā aġhniyā kā karr-o-farr
thā tirī rag rag meñ durveshoñ kī sohbat kā asar
dil tirā zaḳhmoñ se bazm-e-āshiqī meñ chuur hai
jis suḳhan ko dekhiye ristā huā nāsūr hai
bazm-gāh-e-husn meñ ik partav-e-faiz-e-jamāl
said-gāh-e-ishq meñ hai ek said-e-ḳhasta-hāl
dekhnā ho gar tujhe dekhe tire afkār meñ
hai tirī tasvīr tere ḳhūñ-chakāñ ash.ār meñ
sair ke qābil hai dil sad-pāra us naḳhchīr kā
jis ke har TukḌe meñ ho paivast paikāñ tiir kā
āsmān-e-sher par chamke haiñ sayyāre bahut
apnī apnī raushnī dikhlā ga.e taare bahut
ahd-e-gul hai aur vahī rañgīnī-e-gulzār hai
ḳhāk-e-hind ab tak agar dekho tajallī-zār hai
aur bhī haiñ ma.arke meñ shahsavār-e-yakka-tāz
aur bhī haiñ mai-kade meñ sāqiyān-e-dil-navāz
haiñ to paimāne vahī lekin vo mai miltī nahīñ
naġhma-sanjoñ meñ kisī se terī lai miltī nahīñ
sāhibān-e-zauq ke sīnoñ meñ thī jis kī khaTak
tairte haiñ dil meñ vo sar-tez nashtar aaj tak
kārvān-e-rafta ko thā terī yaktā.ī pe naaz
asr-e-maujūda ne bhī maanā hai terā imtiyāz
ho ga.e haiñ aaj tujh ko ek sau bā.īs saal
to nahīñ zinda hai duniyā meñ magar terā kamāl
haq hai ham par yaad kar ke tujh ko ronā chāhiye
mātam apnī nā-shanāsī kā bhī honā chāhiye
DhūñDte haiñ qabr kā bhī ab nishāñ miltā nahīñ
ai zamīñ tujh meñ hamārā āsmāñ miltā nahīñ
shahid-e-bazm-e-suKHan nazura-e-mani-taraaz
ai KHuda-e-reKHta paighambar-e-soz-o-gudaz
yusuf-e-mulk-e-maani pir-e-kanan-e-suKHan
hai teri har bait ahl-e-dard ko bait-ul-huzan
ai shahid-e-jalwa-e-mani faqir-e-be-niyaz
is tarah kis ne kahi hai dastan-e-soz-o-saz
hai adab urdu ka nazan jis pe wo hai teri zat
sar-zamin-e-sher par ai chashma-e-ab-e-hayat
tafta-dil aashufta-sar aatish-nawa be-KHeshtan
aah teri sina-soz aur nala tera dil-shikan
KHatm tujh par ho gaya lutf-e-bayan-e-ashiqi
marhaba ai waqif-e-raaz-e-nihan-e-ashiqi
sar-zamin-e-sher kaba aur tu is ka KHalil
shaKH-e-tuba-e-suKHan par hamnawa-e-jibrail
josh-e-istighna tera tere liye wajh-e-nashat
shan-e-KHuddari teri aaina-dar-e-ehtiyat
bazm se guzra kamal-e-faqr dikhlata hua
taj-e-shahi pa-e-istighna se Thukraata hua
tha dimagh-o-dil mein sahba-e-qanat ka surur
thi jawab-e-satwat-e-shahi teri tab-e-ghayur
mauja-e-bahr-e-qanat teri abru ki shikan
taKHt-e-shahi par hasir-e-faqr tera KHanda-zan
tha ye jauhar teri fitri shairi ke rutba-dan
izzat-e-fan thi teri nazuk-mizaji mein nihan
multafit karta tujhe kya aghniya ka karr-o-farr
tha teri rag rag mein durweshon ki sohbat ka asar
dil tera zaKHmon se bazm-e-ashiqi mein chur hai
jis suKHan ko dekhiye rista hua nasur hai
bazm-gah-e-husn mein ek partaw-e-faiz-e-jamal
said-gah-e-ishq mein hai ek said-e-KHasta-haal
dekhna ho gar tujhe dekhe tere afkar mein
hai teri taswir tere KHun-chakan ashaar mein
sair ke qabil hai dil sad-para us naKHchir ka
jis ke har TukDe mein ho paiwast paikan tir ka
aasman-e-sher par chamke hain sayyare bahut
apni apni raushni dikhla gae tare bahut
ahd-e-gul hai aur wahi rangini-e-gulzar hai
KHak-e-hind ab tak agar dekho tajalli-zar hai
aur bhi hain marke mein shahsawar-e-yakka-taz
aur bhi hain mai-kade mein saqiyan-e-dil-nawaz
hain to paimane wahi lekin wo mai milti nahin
naghma-sanjon mein kisi se teri lai milti nahin
sahiban-e-zauq ke sinon mein thi jis ki khaTak
tairte hain dil mein wo sar-tez nashtar aaj tak
karwan-e-rafta ko tha teri yaktai pe naz
asr-e-maujuda ne bhi mana hai tera imtiyaz
ho gae hain aaj tujh ko ek sau bais sal
to nahin zinda hai duniya mein magar tera kamal
haq hai hum par yaad kar ke tujh ko rona chahiye
matam apni na-shanasi ka bhi hona chahiye
DhunDte hain qabr ka bhi ab nishan milta nahin
ai zamin tujh mein hamara aasman milta nahin
- Book : Auraq-e-Aziz (Pg. 43)
- Author : Aziz Lakhnavi
- Publication : Nusrat Publisher Aminabad Lucknow
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.