Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mira-ji

Habib Jalib

mira-ji

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

  Interesting Fact

  Dedicated to the eminent poet Meeraji.

  giit kyā kyā likh gayā kyā kyā fasāne kah gayā

  naam yūñhī to nahīñ us adab meñ rah gayā

  ek tanhā.ī rahī us anīs-e-zindagī

  kaun jaane kaise kaise dukh vo tanhā sah gayā

  soz 'mīrā' milā ko to mīrā-jī banā

  dil-nashīñ likkhe suḳhan aur dhaḌkanoñ meñ rah gayā

  dard jitnā bhī use bedard duniyā se milā

  shā.erī meñ Dhal gayā kuchh āñsuoñ meñ bah gayā

  ik na.ī chhab se jiyā vo ik ajab Dhab se jiyā

  aañkh uThā kar jis ne dekhā dekhtā rah gayā

  us se aage koī bhī jaane nahīñ paayā abhī

  naqsh ban ke rah gayā jo us rau meñ bah gayā

  git kya kya likh gaya kya kya fasane kah gaya

  nam yunhi to nahin us ka adab mein rah gaya

  ek tanhai rahi us ki anis-e-zindagi

  kaun jaane kaise kaise dukh wo tanha sah gaya

  soz 'mira' ka mila ji ko to mira-ji bana

  dil-nashin likkhe suKHan aur dhaDkanon mein rah gaya

  dard jitna bhi use bedard duniya se mila

  shaeri mein Dhal gaya kuchh aansuon mein bah gaya

  ek nai chhab se jiya wo ek ajab Dhab se jiya

  aankh uTha kar jis ne dekha dekhta hi rah gaya

  us se aage koi bhi jaane nahin paya abhi

  naqsh ban ke rah gaya jo us ki rau mein bah gaya

  Source :
  • Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 387)

  Tagged Under

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now