pesh-ahang
junūn-e-shauq ke dam se hai izz-o-shān-e-hayāt
yahī hai rūh-e-mohabbat yahī hai jān-e-hayāt
qiyām naam hai kis kā ise nahīñ ma.alūm
hamesha garm-e-tag-o-dau hai kārvān-e-hayāt
ziyā-e-ishq se qalb-o-nigāh raushan ho
to ḳhud-baḳhud nikhar aatī hai dāstān-e-hayāt
ġham-e-hayāt ko hañs hañs ke jo uThātā hai
usī ko miltā hai yaañ lutf-e-jāvidān-e-hayāt
jo tū sune to kahūñ ek baat nukte kī
ḳhudī se baḌh ke nahīñ koī pāsbān-e-hayāt
ḳhudī se tū ne agar rishta ustuvār kiyā
ajal miTā nahīñ saktī tirā nishān-e-hayāt
milā hai hazrat-e-iqbāl se use āhang
huā hai 'manshā' tabhī aisā naġhma-ḳhvān-e-hayāt
junun-e-shauq ke dam se hai izz-o-shan-e-hayat
yahi hai ruh-e-mohabbat yahi hai jaan-e-hayat
qiyam nam hai kis ka ise nahin malum
hamesha garm-e-tag-o-dau hai karwan-e-hayat
ziya-e-ishq se qalb-o-nigah raushan ho
to KHud-baKHud nikhar aati hai dastan-e-hayat
gham-e-hayat ko hans hans ke jo uThata hai
usi ko milta hai yan lutf-e-jawidan-e-hayat
jo tu sune to kahun ek baat nukte ki
KHudi se baDh ke nahin koi pasban-e-hayat
KHudi se tu ne agar rishta ustuwar kiya
ajal miTa nahin sakti tera nishan-e-hayat
mila hai hazrat-e-iqbaal se use aahang
hua hai 'mansha' tabhi aisa naghma-KHwan-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.