pesh-rau pesh-e-nazar
azm se bantā hai mustaqbil-e-aqvām-e-jahāñ
azm-e-insāñ ko samajh aaj kī hālat ko na dekh
abtarī sat.h kī uljhī huī maujoñ kā hai naam
asl shai ruuh hai bigḌī huī sūrat ko na dekh
saaz bajte haiñ mohabbat ke darūn-e-mahfil
tū dar-e-yār ke darbāñ kī shaqāvat ko na dekh
kār-e-taḳhlīq-e-bahārāñ meñ haiñ sho.ale filhāl
sāvan aatā hai bas ab jeTh kī hiddat ko na dekh
aaj kā ḳhuun hai rang-e-gul-e-fardā ke liye
dard-e-zaḳhm-e-dil-e-majrūh kī shiddat ko na dekh
ashk motī sadaf-e-vaqt meñ ban jā.eñge
ho ke māyūs gulū-gīrī-e-riqqat ko na dekh
pesh-rau pesh-e-nazar haiñ yahī ādāb-e-hayāt
sub.h hone ko hai ab raat kī zulmat ko na dekh
azm se banta hai mustaqbil-e-aqwam-e-jahan
azm-e-insan ko samajh aaj ki haalat ko na dekh
abtari sath ki uljhi hui maujon ka hai nam
asl shai ruh hai bigDi hui surat ko na dekh
saz bajte hain mohabbat ke darun-e-mahfil
tu dar-e-yar ke darban ki shaqawat ko na dekh
kar-e-taKHliq-e-bahaaran mein hain shoale filhaal
sawan aata hai bas ab jeTh ki hiddat ko na dekh
aaj ka KHun hai rang-e-gul-e-farda ke liye
dard-e-zaKHm-e-dil-e-majruh ki shiddat ko na dekh
ashk moti sadaf-e-waqt mein ban jaenge
ho ke mayus gulu-giri-e-riqqat ko na dekh
pesh-rau pesh-e-nazar hain yahi aadab-e-hayat
subh hone ko hai ab raat ki zulmat ko na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.