peshawar ki sair
har ek dilrubā milā
har ek bā-vafā milā
jise thā pās-e-dostī
vahī uThā baḌhā milā
nashist jis kī duur thī
qarīb aa gayā milā
peshawar aane kā mujhe
sahī jo lutf thā milā
hañsī milī ḳhushī milī
ḳhudī milī ḳhudā milā
raqīb thā khichā khichā
habīb thā ghulā milā
nazar nazar adā adā
maiñ dekhtā chalā gayā
guloñ meñ zindagī milī
chaman meñ dilkashī milī
ḳhushī gale lagī milī
milī hañsī ḳhushī milī
chaman chaman ravish ravish
bahār husn kī milī
kahīñ banāvaTeñ milīñ
kahīñ pe sādgī milī
kahīñ pe zulmateñ milīñ
kahīñ pe raushnī milī
nazar kisī nigāh se
kabhī haTī kabhī milī
na thā koī jo Toktā
maiñ dekhtā chalā gayā
har ek samt ḳhaan haiñ
shakīl haiñ javān haiñ
na nuun haiñ na naan haiñ
ye sab ke sab paThān haiñ
jihād in kī shaan hai
jihād kī ye shaan haiñ
ye ġhāziyoñ ke haiñ pisar
mujāhidoñ kī jaan haiñ
ye sab ḳhudā-parast haiñ
ḳhudī ke tarjumān haiñ
baḌī baḌī haveliyāñ
baḌe baḌe nishān haiñ
nazāra-hā-e-dilrubā
maiñ dekhtā chalā gayā
'ajīb chiiz hai yahāñ
hasīn raat kā samāñ
nigāh jis taraf karo
chamak rahī haiñ bijliyāñ
hasīn log chār-sū
saḌak pe haiñ ravāñ-davāñ
'imāratoñ ke sāmne
jhukā huā hai āsmāñ
ki dekhne kī chiiz haiñ
idhar udhar yahāñ vahāñ
secretariyoñ kī moTareñ
kamishnaroñ kī koThiyāñ
bahār thī nikhār thā
maiñ dekhtā chalā gayā
ye ḳhush-libās laḌkiyāñ
hasīñ hasīñ javāñ javāñ
husūl-e-‘ilm ke liye
qadam qadam ravāñ-davāñ
ḳhushī se dil mahak uThe
nazar paḌī jahāñ-jahāñ
khulī huī kitāb meñ
sharāfatoñ kī dāstāñ
haqīqateñ simaT ga.iiñ
Thahar ke dam liyā jahāñ
sharāb kī misāl haiñ
shabāb kī ye surḳhiyāñ
ye inqalāb kī adā
maiñ dekhtā chalā gayā
hakīm bhī haiñ piir bhī
amiir bhī kabīr bhī
assembly meñ jalva-gar
baḌe baḌe vazīr bhī
ki jin ke voTaroñ meñ haiñ
aqiil bhī kasīr bhī
unhīñ ke dam se aaj hai
ye shahr-e-be-nazīr bhī
hamāre leaderoñ meñ haiñ
shahīr bhī basīr bhī
muqīm is maqām par
haiñ ek do safīr bhī
yūñhī bas ittifāq thā
maiñ dekhtā chalā gayā
ġharīb log bā-vafā
amīn-e-ġhairat-o-hayā
dhanī haiñ apnī baat ke
nahīñ hai ḳhauf jaan kā
masarratoñ kī baat kar
musībatoñ kā zikr kyā
kabhī jo vaqt aa paḌā
burā bhalā guzar gayā
dahī qadīm baat hai
na kuchh ghaTā na kuchh baḌhā
ki shukr jin kī shaan hai
shikāyatoñ se un ko kyā
phaTā huā libās thā
maiñ dekhtā chalā gayā
ye shā'iroñ kī bazm hai
ki 'arsa-gāh-e-razm hai
tarah tarah kī boliyāñ
alag alag haiñ Toliyāñ
suḳhan meñ koī fard hai
kisī kā rang zard hai
haiñ in meñ shahsavār bhī
buzurg-e-bā-vaqār bhī
sabhī meñ ye kamāl hai
har ik jagah ye haal hai
marīz ho ki ho maraz
mujhe kisī se kyā ġharaz
mushā’era zarūr thā
maiñ dekhtā chalā gayā
har ek dilruba mila
har ek ba-wafa mila
jise tha pas-e-dosti
wahi uTha baDha mila
nashist jis ki dur thi
qarib aa gaya mila
peshawar aane ka mujhe
sahi jo lutf tha mila
hansi mili KHushi mili
KHudi mili KHuda mila
raqib tha khicha khicha
habib tha ghula mila
nazar nazar ada ada
main dekhta chala gaya
gulon mein zindagi mili
chaman mein dilkashi mili
KHushi gale lagi mili
mili hansi KHushi mili
chaman chaman rawish rawish
bahaar husn ki mili
kahin banawaTen milin
kahin pe sadgi mili
kahin pe zulmaten milin
kahin pe raushni mili
nazar kisi nigah se
kabhi haTi kabhi mili
na tha koi jo Tokta
main dekhta chala gaya
har ek samt KHan hain
shakil hain jawan hain
na nun hain na nan hain
ye sab ke sab paThan hain
jihad in ki shan hai
jihad ki ye shan hain
ye ghaziyon ke hain pisar
mujahidon ki jaan hain
ye sab KHuda-parast hain
KHudi ke tarjuman hain
baDi baDi haweliyan
baDe baDe nishan hain
nazara-ha-e-dilruba
main dekhta chala gaya
'ajib chiz hai yahan
hasin raat ka saman
nigah jis taraf karo
chamak rahi hain bijliyan
hasin log chaar-su
saDak pe hain rawan-dawan
'imaraton ke samne
jhuka hua hai aasman
ki dekhne ki chiz hain
idhar udhar yahan wahan
secretariyon ki moTaren
kamishnaron ki koThiyan
bahaar thi nikhaar tha
main dekhta chala gaya
ye KHush-libas laDkiyan
hasin hasin jawan jawan
husul-e-‘ilm ke liye
qadam qadam rawan-dawan
KHushi se dil mahak uThe
nazar paDi jahan-jahan
khuli hui kitab mein
sharafaton ki dastan
haqiqaten simaT gain
Thahar ke dam liya jahan
sharab ki misal hain
shabab ki ye surKHiyan
ye inqalab ki ada
main dekhta chala gaya
hakim bhi hain pir bhi
amir bhi kabir bhi
assembly mein jalwa-gar
baDe baDe wazir bhi
ki jin ke woTaron mein hain
aqil bhi kasir bhi
unhin ke dam se aaj hai
ye shahr-e-be-nazir bhi
hamare leaderon mein hain
shahir bhi basir bhi
muqim is maqam par
hain ek do safir bhi
yunhi bas ittifaq tha
main dekhta chala gaya
gharib log ba-wafa
amin-e-ghairat-o-haya
dhani hain apni baat ke
nahin hai KHauf jaan ka
masarraton ki baat kar
musibaton ka zikr kya
kabhi jo waqt aa paDa
bura bhala guzar gaya
dahi qadim baat hai
na kuchh ghaTa na kuchh baDha
ki shukr jin ki shan hai
shikayaton se un ko kya
phaTa hua libas tha
main dekhta chala gaya
ye sha'iron ki bazm hai
ki 'arsa-gah-e-razm hai
tarah tarah ki boliyan
alag alag hain Toliyan
suKHan mein koi fard hai
kisi ka rang zard hai
hain in mein shahsawar bhi
buzurg-e-ba-waqar bhi
sabhi mein ye kamal hai
har ek jagah ye haal hai
mariz ho ki ho maraz
mujhe kisi se kya gharaz
musha’era zarur tha
main dekhta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.