peTu bhai
ek haiñ apne peTū bhaa.ī
khāte haiñ din raat malā.ī
har dam charnā kaam hai in kā
peTū yūñhī naam hai in kā
nannhī siimā ko bahlā kar
le lete haiñ biscuit aa kar
ro detī hai baby rozī
chhīnte haiñ jab us kī toffē
rañg sharārat ik din laa.ī
baiThe baiThe shāmat aa.ī
kunDī meñ rakkhī thī miThā.ī
ammī ne kamre meñ chhupā.ī
peTū bhaa.ī ne jab dekhā
muñh meñ jhaT paanī bhar aayā
sochā dil meñ maal hai achchhā
haath lage to phir kyā kahnā
barfī laDDū bālū-shāhī
ḳhuub maze le le kar khaa.ī
shaam ko jab ammī ne sochā
dekheñ kunDī meñ hai kyā
aa kar jab almārī dekhī
paa.ī kunDī bilkul ḳhālī
chauñk uThīñ phir ġhussa aayā
peTū sāhab ko garmāyā
hone lagī jab ḳhuub piTā.ī
tauba kī aur jaan chhuḌā.ī
piTte bhī haiñ khāte bhī haiñ
rote bhī haiñ gaate bhī haiñ
ek hain apne peTu bhai
khate hain din raat malai
har dam charna kaam hai in ka
peTu yunhi nam hai in ka
nannhi sima ko bahla kar
le lete hain biscuit aa kar
ro deti hai baby rozi
chhinte hain jab us ki toffee
rang shararat ek din lai
baiThe baiThe shamat aai
kunDi mein rakkhi thi miThai
ammi ne kamre mein chhupai
peTu bhai ne jab dekha
munh mein jhaT pani bhar aaya
socha dil mein mal hai achchha
hath lage to phir kya kahna
barfi laDDu baalu-shahi
KHub maze le le kar khai
sham ko jab ammi ne socha
dekhen kunDi mein hai kya
aa kar jab almari dekhi
pai kunDi bilkul KHali
chaunk uThin phir ghussa aaya
peTu sahab ko garmaya
hone lagi jab KHub piTai
tauba ki aur jaan chhuDai
piTte bhi hain khate bhi hain
rote bhi hain gate bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.