peTū mal
duudh malā.ī
haa.e khilāo
damḌī paa.ī
kuchh to dilāo
nān-ḳhatā.ī
khaao khaao
Tingū bhaa.ī
lassī laao
haa.e haa.e bhuuk lagī hai
qulfī vaalā
aatā hogā
jāmun kaalā
laatā hogā
peT kā chūhā
gaatā hogā
aañkh meñ jaalā
chhātā hogā
haa.e haa.e bhuuk lagī hai
būñdī taazī
barfī laDDū
achchhī ḳhāsī
khānā guDDū
khā.eñ baasī
kyā haiñ buddhū
pyārī chāchī
hū hū hū hū
haa.e haa.e bhuuk lagī hai
bhuuk ruke nā
apnī ik pal
aaj tabī.at
bhuuk se hai Dull
tiis jalebī
sola anDe
puurā murġhā
khāyā thā kal
itnā thoḌā
khāne par bhī
naam hamārā
hai peTū mal
haa.e haa.e bhuuk lagī hai
peTu mal
dudh malai
hae khilao
damDi pai
kuchh to dilao
nan-KHatai
khao khao
Tingu bhai
lassi lao
hae hae bhuk lagi hai
qulfi wala
aata hoga
jamun kala
lata hoga
peT ka chuha
gata hoga
aankh mein jala
chhata hoga
hae hae bhuk lagi hai
bundi tazi
barfi laDDu
achchhi KHasi
khana guDDu
khaen basi
kya hain buddhu
pyari chachi
hu hu hu hu
hae hae bhuk lagi hai
bhuk ruke na
apni ek pal
aaj tabiat
bhuk se hai Dull
tis jalebi
sola anDe
pura murgha
khaya tha kal
itna thoDa
khane par bhi
nam hamara
hai peTu mal
hae hae bhuk lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.