phagun
āñgan meñ ik shajar hai
dālān meñ havā.eñ
kamre meñ ek laḌkī
ujlī udaas laḌkī
water-color se dil pe patte banā rahī hai
itne meñ peḌ aayā
kamre meñ peḌ aayā
patte girā ke bolā ''bāhar havā bahut hai''
laḌkī thī pahle ujlī ab piilī ho ga.ī hai
phir chand pal biite dāḳhil huī havā.eñ
patte uḌā ke bolīñ andar havā bahut hai
laḌkī thī pahle piilī ab laal ho ga.ī hai
vo laal laal laḌkī ab be-qarār ho ke
water-color kā Dabbā dil meñ kahīñ chhupā.e
āñchal meñ kuchh havā.eñ dāman meñ chand patte
dālān se guzar ke āñgan ko paar kar ke
maidān-e-nauha-ḳhvāñ meñ aa ke ThiThak ga.ī hai
maidān-e-nauha-ḳhvāñ meñ ik canvas rakhā hai
is canvas ke dil pe water-color meñ bhīgā
phāgun kā har harā hai kab se vo jal rahā hai!
aangan mein ek shajar hai
dalan mein hawaen
kamre mein ek laDki
ujli udas laDki
water-color se dil pe patte bana rahi hai
itne mein peD aaya
kamre mein peD aaya
patte gira ke bola bahar hawa bahut hai
laDki thi pahle ujli ab pili ho gai hai
phir chand pal bite daKHil hui hawaen
patte uDa ke bolin andar hawa bahut hai
laDki thi pahle pili ab lal ho gai hai
wo lal lal laDki ab be-qarar ho ke
water-color ka Dabba dil mein kahin chhupae
aanchal mein kuchh hawaen daman mein chand patte
dalan se guzar ke aangan ko par kar ke
maidan-e-nauha-KHwan mein aa ke ThiThak gai hai
maidan-e-nauha-KHwan mein ek canwas rakha hai
is canwas ke dil pe water-color mein bhiga
phagun ka har hara hai kab se wo jal raha hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.