phansi ka mujrim
jaagā kiyā huuñ rāt-bhar
be-ḳhvāb āñkhoñ meñ basī thiiñ kitnī hī parchhā.iyāñ
jin ko na mil paayā badan
palkoñ pe jamte jaate the aañsū chaTānoñ kī tarah
jin ko tarāsho laakh koī mahal banñe kā nahīñ
ik aag kā ThanDā dhuāñ kyā jaane kitnī talḳhiyoñ kā rāz-dāñ
tanhā.iyoñ ke dosh pe bādal sā lahrātā rahā
ye khel bhī kyā khel thā
jaise koī letā ho mere bāzuoñ meñ muñh chhupā kar siskiyāñ
kahtā ho pahchāno zarā maiñ kaun huuñ kyā rabt hai tum se mirā
maiñ ye pahelī būjhne ko tā-sahar jaagā kiyā
thī raat bhārī kis qadar ye kyā kahūñ
jaise kisī maqtūl kī bālīñ pe muflis aqrabā chup ho ga.e hoñ rote rote der tak
rah rah simaTtī shab-gazīda rahguzar
ik sansanāte tiir sī
ḳhvāboñ ke phande kāTtī
āvāz pahre-dār kī
tārīkiyoñ kī vādī-e-ḳhāmosh meñ
is tarah lāThī ke Thahoke gūñjte
jaise lagātā ho koī phāñsī kā mujrim qahqahe
kyā maiñ bhī mujrim huuñ koī
kyā jaane kyā ho sā.atoñ kā faisla
ye kaun jaane daf.atan kab ThanDe bistar se uThūñ
dahlīz par aa jā.ūñ
aur us rahguzar par chal paḌūñ
varna ye lambī raat lambī aur bhī ho jā.egī
letā rahegā koī mere bāzuoñ meñ muñh chhupā kar siskiyāñ
maiñ us ko pahchānūñgā kyā
vo merā dukh jānegā kyā
jaga kiya hun raat-bhar
be-KHwab aankhon mein basi thin kitni hi parchhaiyan
jin ko na mil paya badan
palkon pe jamte jate the aansu chaTanon ki tarah
jin ko tarasho lakh koi mahal banne ka nahin
ek aag ka ThanDa dhuan kya jaane kitni talKHiyon ka raaz-dan
tanhaiyon ke dosh pe baadal sa lahraata raha
ye khel bhi kya khel tha
jaise koi leta ho mere bazuon mein munh chhupa kar siskiyan
kahta ho pahchano zara main kaun hun kya rabt hai tum se mera
main ye paheli bujhne ko ta-sahar jaga kiya
thi raat bhaari kis qadar ye kya kahun
jaise kisi maqtul ki baalin pe muflis aqraba chup ho gae hon rote rote der tak
rah rah simaTti shab-gazida rahguzar
ek sansanate tir si
KHwabon ke phande kaTti
aawaz pahre-dar ki
tarikiyon ki wadi-e-KHamosh mein
is tarah laThi ke Thahoke gunjte
jaise lagata ho koi phansi ka mujrim qahqahe
kya main bhi mujrim hun koi
kya jaane kya ho saaton ka faisla
ye kaun jaane dafatan kab ThanDe bistar se uThun
dahliz par aa jaun
aur us rahguzar par chal paDun
warna ye lambi raat lambi aur bhi ho jaegi
leta rahega koi mere bazuon mein munh chhupa kar siskiyan
main us ko pahchanunga kya
wo mera dukh jaanega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.