phenku ram
pheñkū raam ko ḳhuub aatā hai til ko taaḌ banānā
rassī ko vo saañp banā deñ aur zarre ko taarā
naam to un kā sevak raam thā ban ga.e pheñkū raam
un ke ġhalat tarīqoñ ne hī kiyā unheñ badnām
alif ko kahte lāThī lekin bante baḌe siyāne
har fan maulā kahlāte haiñ gaḌhte haiñ afsāne
gaañv meñ ik shab chor jo aa.e jaagā shor-sharāba
lāThiyāñ le kar ik ik jiyālā choroñ ke pīchhe bhāgā
pheñkū raam to Dar ke maare ghar se nikal na paa.e
shor-sharāba ḳhatm huā to hazrat bāhar aa.e
ghūm-ghām ke lauTe to thā haath meñ ek an.gochhā
use dikhā kar kahā ki jyuuñ hī chor ko maiñ ne pakḌā
bhāgā ḳhud ko chhuḌā ke lekin haath aayā ye an.gochhā
un kī lan-tarāniyoñ se the vāqif saare bhayyā
dekhā jā kar qarīb se vo raamū kā thā an.gochhā
gap-bāzī kā un ke dekhā logoñ ne anjām
hue na is par bhī sharminda bhaa.ī pheñkū raam
jis se izzat pe harf aa.e baaqī rahe na naam
pyāre bachcho kabhī na karnā tum sab aise kaam
phenku ram ko KHub aata hai til ko taD banana
rassi ko wo sanp bana den aur zarre ko tara
nam to un ka sewak ram tha ban gae phenku ram
un ke ghalat tariqon ne hi kiya unhen badnam
alif ko kahte laThi lekin bante baDe siyane
har fan maula kahlate hain gaDhte hain afsane
ganw mein ek shab chor jo aae jaga shor-sharaba
laThiyan le kar ek ek jiyala choron ke pichhe bhaga
phenku ram to Dar ke mare ghar se nikal na pae
shor-sharaba KHatm hua to hazrat bahar aae
ghum-gham ke lauTe to tha hath mein ek angochha
use dikha kar kaha ki jyun hi chor ko main ne pakDa
bhaga KHud ko chhuDa ke lekin hath aaya ye angochha
un ki lan-taraniyon se the waqif sare bhayya
dekha ja kar qarib se wo ramu ka tha angochha
gap-bazi ka un ke dekha logon ne anjam
hue na is par bhi sharminda bhai phenku ram
jis se izzat pe harf aae baqi rahe na nam
pyare bachcho kabhi na karna tum sab aise kaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.