pheri wala
priit nagar se pherī vaalā merī galī meñ aayā
chūḌī, lauñg, añgūThī, chhalle rañg birañge laayā
maiñ ne pūchhā aur bhī kuchh hai, bolā mīThā sapnā
jis ko le kar jīvan bhar ik naam kī maalā japnā
maiñ ne kahā kyā mol hai is kaa, bolā ik muskān
tan meñ aag lagāo is se rakkho man kī aan
sastā saudā dekh ke āḳhir meñ paglī muskā.ī
jīvan bhar kā rog sameT ke maiñ kaisī iThlā.ī
rahegā laal gulāb sā sapnā kab tak mere sañg
kab tak is meñ baas rahegī, kab tak us meñ rañg
is ke taar bikhar jā.eñge kab merā dil maane
dil pe rahegā kab tak jaadū pherī vaalā jaane
prit nagar se pheri wala meri gali mein aaya
chuDi, laung, anguThi, chhalle rang birange laya
main ne puchha aur bhi kuchh hai, bola miTha sapna
jis ko le kar jiwan bhar ek nam ki mala japna
main ne kaha kya mol hai is ka, bola ek muskan
tan mein aag lagao is se rakkho man ki aan
sasta sauda dekh ke aaKHir mein pagli muskai
jiwan bhar ka rog sameT ke main kaisi iThlai
rahega lal gulab sa sapna kab tak mere sang
kab tak is mein bas rahegi, kab tak us mein rang
is ke tar bikhar jaenge kab mera dil mane
dil pe rahega kab tak jadu pheri wala jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.