phir bhi apna desh hai changa
aadhā bhūkā aadhā nangā
phir bhī apnā desh hai changā
haath bhī dho lo paap bhī dho lo
bahtī hai is desh meñ gangā
rishvat khā kar team chunī thī
kaise jiite match tirangā
sānsad hai sammān ke laa.iq
kaisā bhī ho chor lafangā
turat aayog biThāyā dekho
hākim ne karvā ke dangā
khaap hamārī kare faisle
court bane kyoñ biich aḌañgā
jailoñ meñ nirdosh bhare haiñ
saḌkoñ par haiñ billā rangā
bachche bhī ab hue siyāne
kaun kahe raaja hai nangā
chup hai pisne vaalī jantā
tū kyoñ letā hai re pangā
yuuñ bhī 'sadā' kyā kar pā.egā
tere jaisā keeT patangā
aadha bhuka aadha nanga
phir bhi apna desh hai changa
hath bhi dho lo pap bhi dho lo
bahti hai is desh mein ganga
rishwat kha kar team chuni thi
kaise jite match tiranga
sansad hai samman ke laiq
kaisa bhi ho chor lafanga
turat aayog biThaya dekho
hakim ne karwa ke danga
khap hamari kare faisle
court bane kyon bich aDanga
jailon mein nirdosh bhare hain
saDkon par hain billa ranga
bachche bhi ab hue siyane
kaun kahe raja hai nanga
chup hai pisne wali janta
tu kyon leta hai re panga
yun bhi 'sada' kya kar paega
tere jaisa keeT patanga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.