phir dukh kaisa
jab tum apne ho
aur ham apne haiñ
phir dukh kaisā
jab ḳhaak se uge fasāne
aur diloñ meñ chhupe ḳhazāne
sab ek haiñ
phir dukh kaisā
jo tum ne lagā.e tan par
aur ham ne sajā.e dil meñ
sab zaḳhm haiñ
phir dukh kaisā
jab phūloñ ke chehre par
aur dil se bahte lahū meñ
sab rang hai
phir dukh kaisā
jab nadī meñ bahtā paanī
aur aañkh se Tapkā aañsū
sab aab hai
phir dukh kaisā
jab tum apne ho
aur hum apne hain
phir dukh kaisa
jab KHak se uge fasane
aur dilon mein chhupe KHazane
sab ek hain
phir dukh kaisa
jo tum ne lagae tan par
aur hum ne sajae dil mein
sab zaKHm hain
phir dukh kaisa
jab phulon ke chehre par
aur dil se bahte lahu mein
sab rang hai
phir dukh kaisa
jab nadi mein bahta pani
aur aankh se Tapka aansu
sab aab hai
phir dukh kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.