phir lauT chalen
sadiyoñ pahle aadmī jangal se
maidān kī samt aayā thā
bastiyāñ basā kar zindagī guzārne ke liye
magar ab bastiyāñ hī jangal ban ga.ī haiñ
jahāñ insān
jānvar se bad-tar ḳhaslatoñ kā hāmil ho gayā hai
chalo phir jangal kī taraf lauT chaleñ
fitrat se qarīb hone ke liye
pur-sukūn zindagī kī talāsh meñ
sadiyon pahle aadmi jangal se
maidan ki samt aaya tha
bastiyan basa kar zindagi guzarne ke liye
magar ab bastiyan hi jangal ban gai hain
jahan insan
jaanwar se bad-tar KHaslaton ka hamil ho gaya hai
chalo phir jangal ki taraf lauT chalen
fitrat se qarib hone ke liye
pur-sukun zindagi ki talash mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.