phir milna kya na milna kya
barsoñ ke ba.ad mileñ ham tum aur biitī ghaḌiyāñ ḳhvāb lageñ
nazroñ se milīñ nazreñ lekin darvāze diloñ ke band raheñ
bāñhoñ ko gale meñ Daal ke bhī milne kī taḌap baaqī hī rahe
be-tābī idhar be-mehrī udhar jab pyaar kī bāteñ baar lageñ
āñkhoñ se lage sāvan kī jhaḌī aur dil kī lagī kuchh aur baḌhe
jab siine se lag kar bhī un ke rūdād-e-judā.ī kah na sakeñ
jab haath meñ haath diye un ke dariyā ke kināre chalte raheñ
aur fāsle baḌhte baḌhte jab nadī ke kināre bin jaa.eñ
jab maazī guzrī raah bane biite lamhe bojhal yādeñ
jab ulfat haath male ro.e aur shikve gile bhī ḳhaar lageñ
ḳhvāboñ se ladī komal kaliyāñ jab mahke binā murjhā jaa.eñ
rut chāhat kī jab biit chuke phir milnā kyā nā milnā kyā
barson ke baad milen hum tum aur biti ghaDiyan KHwab lagen
nazron se milin nazren lekin darwaze dilon ke band rahen
banhon ko gale mein Dal ke bhi milne ki taDap baqi hi rahe
be-tabi idhar be-mehri udhar jab pyar ki baaten bar lagen
aankhon se lage sawan ki jhaDi aur dil ki lagi kuchh aur baDhe
jab sine se lag kar bhi un ke rudad-e-judai kah na saken
jab hath mein hath diye un ke dariya ke kinare chalte rahen
aur fasle baDhte baDhte jab nadi ke kinare bin jaen
jab mazi guzri rah bane bite lamhe bojhal yaaden
jab ulfat hath male roe aur shikwe gile bhi KHar lagen
KHwabon se ladi komal kaliyan jab mahke bina murjha jaen
rut chahat ki jab bit chuke phir milna kya na milna kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.