phir nahin
phir ek ḳhvāhish-e-betāb janam letī hai
phir ek ḳhvāb kī aamad kā hai gumāñ mujh ko
magar mazīd nahīñ dil ko hausla hāsil
ki phir hadaf na banā le ye āsmāñ mujh ko
'ajīb vahshat-e-jāñ hai ki khaa.e jaatī hai
dimāġh-o-dil kī raqābat ke darmiyāñ mujh ko
du'ā karo nafas-e-muzmahil kī ḳhair rahe
ki ab kī baar mire jān-o-dil kī ḳhair rahe
phir ek KHwahish-e-betab janam leti hai
phir ek KHwab ki aamad ka hai guman mujh ko
magar mazid nahin dil ko hausla hasil
ki phir hadaf na bana le ye aasman mujh ko
'ajib wahshat-e-jaan hai ki khae jati hai
dimagh-o-dil ki raqabat ke darmiyan mujh ko
du'a karo nafas-e-muzmahil ki KHair rahe
ki ab ki bar mere jaan-o-dil ki KHair rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.