barf be-mausam girī
chaTTān se maidān tak
be-daraḳhtoñ kī zamīñ
be-ūn bheḌoñ ke liye
zinda rahnā aur marnā donoñ mushkil ho ga.e
aañkh be-manzar ḳhalā ko
takte takte thak ga.ī
vaqt kī raftār ko
batlāne vaalī sūiyāñ
hindisoñ kī be-sila bekār gardish karte karte ruk ga.iiñ
aaḌe tirchhe ūñche nīche rāste
barf kī moTī tahoñ meñ chhup ga.e
phir safar be-samt be-manzil huā
barf ke ujle badan kī
munhanī niilī ragoñ meñ
kaun sūraj ban ke dauḌe
kis tarah ye barf pighle
aag ba-shola huī
phir safar be-samt be-manzil huā
be-ūn bheḌoñ ke liye
zinda rahnā aur marnā donoñ mushkil ho ga.e
barf be-mausam giri
chaTTan se maidan tak
be-daraKHton ki zamin
be-un bheDon ke liye
zinda rahna aur marna donon mushkil ho gae
aankh be-manzar KHala ko
takte takte thak gai
waqt ki raftar ko
batlane wali suiyan
hindison ki be-sila bekar gardish karte karte ruk gain
aaDe tirchhe unche niche raste
barf ki moTi tahon mein chhup gae
phir safar be-samt be-manzil hua
barf ke ujle badan ki
munhani nili ragon mein
kaun suraj ban ke dauDe
kis tarah ye barf pighle
aag ba-shola hui
phir safar be-samt be-manzil hua
be-un bheDon ke liye
zinda rahna aur marna donon mushkil ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.