phir uske baad ka arsa
phir us ke baa'd kā arsa
sunā ab tak yahī hai
jab zamīñ chakkī ke pāToñ kī tarah ghūme
madār-e-zāt kī atrāf meñ jab raqs kartī
ghuum kar apnī jagah pahuñche
to din takmīl paatā hai
magar maiñ aisī kaifiyyat meñ zinda huuñ
jahāñ takmīlliyat kī saarī tārīfeñ
zamānī gardishoñ ke sab tasavvur ḳhaam rahte haiñ
jahāñ shab kī siyāhī aur din kī rū-siyāhī meñ had-e-fāsil nahīñ hotī
ulūm-e-zāhirī mujh ko batāte haiñ
ba-zāhir gardish-e-shām-o-sahar meñ ek din aisā bhī aatā hai
jo baaqī sab dinoñ se kuchh tavālat khīñch letā hai
zavāl-e-vaqt se majbūr ho kar ek din aisā simaTtā hai
ki vaq.at meñ kisī bhī din kā ham-sar ho nahīñ saktā
magar maiñ ne kahā naañ
merī duniyā meñ zamānī gardishoñ ke sab tasavvur ḳhaam rahte haiñ
mirī duniyā kā sab se muḳhtasar din us kī qurbat kā zamāna hai
jo lauh-e-jāñ pe likkhā hai
phir us ke baa'd kā arsa tavālat hī tavālat hai
phir us ke ba'd ka arsa
suna ab tak yahi hai
jab zamin chakki ke paTon ki tarah ghume
madar-e-zat ki atraf mein jab raqs karti
ghum kar apni jagah pahunche
to din takmil pata hai
magar main aisi kaifiyyat mein zinda hun
jahan takmilliyat ki sari tarifen
zamani gardishon ke sab tasawwur KHam rahte hain
jahan shab ki siyahi aur din ki ru-siyahi mein had-e-fasil nahin hoti
ulum-e-zahiri mujh ko batate hain
ba-zahir gardish-e-sham-o-sahar mein ek din aisa bhi aata hai
jo baqi sab dinon se kuchh tawalat khinch leta hai
zawal-e-waqt se majbur ho kar ek din aisa simaTta hai
ki waqat mein kisi bhi din ka ham-sar ho nahin sakta
magar main ne kaha nan
meri duniya mein zamani gardishon ke sab tasawwur KHam rahte hain
meri duniya ka sab se muKHtasar din us ki qurbat ka zamana hai
jo lauh-e-jaan pe likkha hai
phir us ke ba'd ka arsa tawalat hi tawalat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.