phir wahi kunj-e-qafas
chand lamhoñ ke liye shor uThā Duub gayā
kohna zanjīr-e-ġhulāmī kī girah kaT na sakī
phir vahī sail-e-balā hai vahī dām-e-amvāj
nā-ḳhudāoñ meñ safīne kī jagah baT na sakī
TūTte dekh ke derīna ta.attul kā fusūñ
nabz-e-ummīd-e-vatan ubhrī magar Duub ga.ī
peshvāoñ kī nigāhoñ meñ tazabzub pā kar
TūTtī raat ke saa.e meñ sahar Duub ga.ī
mere mahbūb vatan tere muqaddar ke ḳhudā
dast-e-āġhyār meñ qismat kī inaañ chhoḌ ga.e
apnī yak-tarfa siyāsat ke taqāzoñ ke tufail
ek baar aur tujhe nauha-kunāñ chhoḌ ga.e
phir vahī gosha-e-zindāñ hai vahī tārīkī
phir vahī kohna salāsil vahī ḳhūnīñ jhankār
phir vahī bhuuk se insāñ kī satīza-kārī
phir vahī maaoñ ke nauhe vahī bachchoñ kī pukār
tere rahbar tujhe marne ke liye chhoḌ chale
arz-e-bañgāl! unheñ Dūbtī sāñsoñ se pukār
bol! chaTgāñv kī mazlūm ḳhamoshī kuchh bol
bol ai piip se riste hue sīnoñ kī bahār
bhuuk aur qaht ke tūfān baḌhe aate haiñ
bol ai ismat-o-iffat ke janāzoñ kī qatār
rok un TūTte qadmoñ ko unheñ pūchh zarā
pūchh ai bhuuk se dam toḌte Dhāñchoñ kī qatār
zindagī jabr ke sāñchoñ meñ Dhalegī kab tak
in fazāoñ meñ abhī maut palegī kab tak
chand lamhon ke liye shor uTha Dub gaya
kohna zanjir-e-ghulami ki girah kaT na saki
phir wahi sail-e-bala hai wahi dam-e-amwaj
na-KHudaon mein safine ki jagah baT na saki
TuTte dekh ke derina tattul ka fusun
nabz-e-ummid-e-watan ubhri magar Dub gai
peshwaon ki nigahon mein tazabzub pa kar
TuTti raat ke sae mein sahar Dub gai
mere mahbub watan tere muqaddar ke KHuda
dast-e-aghyar mein qismat ki inan chhoD gae
apni yak-tarfa siyasat ke taqazon ke tufail
ek bar aur tujhe nauha-kunan chhoD gae
phir wahi gosha-e-zindan hai wahi tariki
phir wahi kohna salasil wahi KHunin jhankar
phir wahi bhuk se insan ki satiza-kari
phir wahi maon ke nauhe wahi bachchon ki pukar
tere rahbar tujhe marne ke liye chhoD chale
arz-e-bangal! unhen Dubti sanson se pukar
bol! chaTganw ki mazlum KHamoshi kuchh bol
bol ai pip se riste hue sinon ki bahaar
bhuk aur qaht ke tufan baDhe aate hain
bol ai ismat-o-iffat ke janazon ki qatar
rok un TuTte qadmon ko unhen puchh zara
puchh ai bhuk se dam toDte Dhanchon ki qatar
zindagi jabr ke sanchon mein Dhalegi kab tak
in fazaon mein abhi maut palegi kab tak
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.