phir wahi raat
phir vahī raat hai vīrānī-e-dil hai meñ huuñ
tum na mil kar jo bichhaḌtīñ to bahut āsāñ thā
ziist ke ajnabī rastoñ se guzarnā merā
tum ne badlā jo na hotā mirā meyār-e-nazar
koī mushkil na thā duniyā meñ bahalnā merā
apnī tanhā.ī kā dard aaj kahāñ se lā.ūñ
kis se fariyād karūñ kis se mudāvā chāhūñ
bhuul tak bhī na sakūñ jis ko bhulānā chāhūñ
ai mirī vahshat-e-dil tū hī batā kyā chāhūñ
rang-e-rukHsār gul-o-lāla meñ kab tak DhūñDūñ
lab samajh kar tire sho.aloñ ko kahāñ tak chūmūñ
marmarīñ jism ke ehsās meñ khoyā khoyā
chāñdnī rātoñ meñ be-vaj.h kahāñ tak ghūmūñ
tere anfās kī ḳhushbū se mo.attar hai jo dil
nik.hat-e-lāla-o-gul se vo kahāñ bahlegā
jis ne kal tak tire khulte hue lab dekhe the
aaj kaliyoñ ke chaTakne ko kahāñ samjhegā
ek kauñdā sā to lapkā thā mirī āñkhoñ meñ
phir añdhere ke sivā kuchh nazar aayā na mujhe
ik sitāra sā to TuuTā thā mirī rātoñ meñ
mo.ajiza phir koī āñkhoñ ne dikhāyā na mujhe
phir vahī raat hai vīrānī-e-dil hai maiñ huuñ
phir wahi raat hai virani-e-dil hai mein hun
tum na mil kar jo bichhaDtin to bahut aasan tha
zist ke ajnabi raston se guzarna mera
tum ne badla jo na hota mera meyar-e-nazar
koi mushkil na tha duniya mein bahalna mera
apni tanhai ka dard aaj kahan se laun
kis se fariyaad karun kis se mudawa chahun
bhul tak bhi na sakun jis ko bhulana chahun
ai meri wahshat-e-dil tu hi bata kya chahun
rang-e-rukHsar gul-o-lala mein kab tak DhunDun
lab samajh kar tere shoalon ko kahan tak chumun
marmarin jism ke ehsas mein khoya khoya
chandni raaton mein be-wajh kahan tak ghumun
tere anfas ki KHushbu se moattar hai jo dil
nikhat-e-lala-o-gul se wo kahan bahlega
jis ne kal tak tere khulte hue lab dekhe the
aaj kaliyon ke chaTakne ko kahan samjhega
ek kaunda sa to lapka tha meri aankhon mein
phir andhere ke siwa kuchh nazar aaya na mujhe
ek sitara sa to TuTa tha meri raaton mein
moajiza phir koi aankhon ne dikhaya na mujhe
phir wahi raat hai virani-e-dil hai main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.