phirki
aao aao phirkī banā.eñ
aur havā meñ ḳhuub nachā.eñ
aao chaleñ aur kāġhaz laa.eñ
niilā piilā kāġhaz laa.eñ
laalū piilā kāġhaz laa.e
kaalū niilā kāġhaz laa.e
laalū jā kar qaiñchī laa.e
kaalū jā kar le.ī laa.e
laalū ne phir kāġhaz kaaTe
āḌe-tirchhe TeḌhe bāñke
phir in sab TukḌoñ ko moḌā
aur sab ko le.ī se joḌā
lo ab vo tayyār hai phirkī
piilī piilī niilī niilī
aisī phirkī banā.ī sab ne
phulvārī meñ phuul hoñ jaise
laalū ne lī piilī phirkī
kaalū ne lī niilī phirkī
ik bachchī thī piilī phirkī
vo aa kar raajū ne le lī
laalū bhī ḳhush kaalū bhī ḳhush
nanhe munne se raajū bhī ḳhush
aao aao phirki banaen
aur hawa mein KHub nachaen
aao chalen aur kaghaz laen
nila pila kaghaz laen
lalu pila kaghaz lae
kalu nila kaghaz lae
lalu ja kar qainchi lae
kalu ja kar lei lae
lalu ne phir kaghaz kaTe
aaDe-tirchhe TeDhe banke
phir in sab TukDon ko moDa
aur sab ko lei se joDa
lo ab wo tayyar hai phirki
pili pili nili nili
aisi phirki banai sab ne
phulwari mein phul hon jaise
lalu ne li pili phirki
kalu ne li nili phirki
ek bachchi thi pili phirki
wo aa kar raju ne le li
lalu bhi KHush kalu bhi KHush
nanhe munne se raju bhi KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.