phul chand git
Interesting Fact
(Monthly: Masarrat, Patna, May 1968)
haiñ shagūfe nanhe nanhe
phuul lekin
ham baneñge ek din
phuul ban kar muskurānā
ham sikhā.eñge jahāñ ko dosto
haiñ sitāre nanhe nanhe
chāñd lekin
ham baneñge ek din
chāñd ban kar jagmagānā
ham sikhā.eñge zamīñ ko dosto
bol haiñ ham nanhe nanhe
giit lekin
ham baneñge ek din
giit ban kar dil pe chhānā
ham sikhā.eñge jahāñ ko dosto
phuul
chāñd
giit
zindagī ke haiñ nishāñ
ham baneñge is nishāñ ke pāsbāñ
hain shagufe nanhe nanhe
phul lekin
hum banenge ek din
phul ban kar muskurana
hum sikhaenge jahan ko dosto
hain sitare nanhe nanhe
chand lekin
hum banenge ek din
chand ban kar jagmagana
hum sikhaenge zamin ko dosto
bol hain hum nanhe nanhe
git lekin
hum banenge ek din
git ban kar dil pe chhana
hum sikhaenge jahan ko dosto
phul
chand
git
zindagi ke hain nishan
hum banenge is nishan ke pasban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.