phul ka kurta
rang-birangī guḌiyāñ
phūloñ kī kyārī meñ dauḌeñ
hāthoñ meñ ġhubbāre
uchhaleñ kūdeñ
shor machā.eñ
kheleñ ik an-jānā khel
laal gulābī phuñdne vaalā
guDDū raajā
duur des se aa.e
hañsī hañsī meñ
us ke muñh se motī bikhreñ
pavan khaTole par baiThā uḌtā jaa.e
āñkhoñ se ojhal ho jaa.e
guḌiyā raanī
dekhe us ko
dekhtī rah jaa.e
phūloñ kī bhīnī ḳhushbū meñ
vo ḳhud hī kho jaa.e
phūloñ kā ik kurtā pahne
nindiyā raanī aa.e
nindiyā raanī aa.e
rang-birangi guDiyan
phulon ki kyari mein dauDen
hathon mein ghubbare
uchhalen kuden
shor machaen
khelen ek an-jaana khel
lal gulabi phundne wala
guDDu raja
dur des se aae
hansi hansi mein
us ke munh se moti bikhren
pawan khaTole par baiTha uDta jae
aankhon se ojhal ho jae
guDiya rani
dekhe us ko
dekhti rah jae
phulon ki bhini KHushbu mein
wo KHud hi kho jae
phulon ka ek kurta pahne
nindiya rani aae
nindiya rani aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.