phulon ki bahaar
chalte chalte thak gayā huuñ kulfatoñ se chuur huuñ
chain se mahrūm huuñ ārām se maiñ duur huuñ
baaġh meñ aane de maalī hai qasam gul kī tujhe
de rahī hai Daalī Daalī diid kī dāvat mujhe
phuul khilte haiñ basantī nasha-āvar hai fazā
god meñ apne jhulātī hai unheñ bād-e-sabā
baaġh kī āñkheñ haiñ ye yā haiñ sitāre zau-fishāñ
chhūTte haiñ rañg-o-bū ke goyā favvāre yahāñ
rañgateñ dekhūñgā un kī aur lūTūñgā bahār
log jaate haiñ idhar se par nahīñ karte nazar
phuul kyā kyā haiñ khile hotī nahīñ un ko ḳhabar
kaam meñ bhūle hue haiñ saare duniyā ke maze
dil hī dil meñ ghuT ke rah jaate haiñ un ke hausle
par maiñ khelūñgā guloñ se aur lūTūñgā bahār
un ke husn-e-rūh-parvar se sukūñ paatā hai dil
jaane kyā chupke hī chupke mujh se kah jaatā hai dil
kis se pyāre kī dilāte haiñ ye mujh ko yaad ab
aur mujhe apnā samajh kar maiñ bulāte sab ke sab
ġham bhulā dūñgā maiñ un meñ aur lūTūñgā bahār
shāḳh par ġhunche khileñge aur kumhlā jā.eñge
hañs hañsā kar ik ghaḌī ke baad murjhā jā.eñge
zindagī meñ maut kā kyoñ ġham kareñ kyoñ dukh yahīñ
is riyāz-e-dahr meñ jab tak raheñ hañste raheñ
un se sīkhūñgā maiñ hañsnā aur lūTūñgā bahār
chalte chalte thak gaya hun kulfaton se chur hun
chain se mahrum hun aaram se main dur hun
bagh mein aane de mali hai qasam gul ki tujhe
de rahi hai Dali Dali did ki dawat mujhe
phul khilte hain basanti nasha-awar hai faza
god mein apne jhulati hai unhen baad-e-saba
bagh ki aankhen hain ye ya hain sitare zau-fishan
chhuTte hain rang-o-bu ke goya fawware yahan
rangaten dekhunga un ki aur luTunga bahaar
log jate hain idhar se par nahin karte nazar
phul kya kya hain khile hoti nahin un ko KHabar
kaam mein bhule hue hain sare duniya ke maze
dil hi dil mein ghuT ke rah jate hain un ke hausle
par main khelunga gulon se aur luTunga bahaar
un ke husn-e-ruh-parwar se sukun pata hai dil
jaane kya chupke hi chupke mujh se kah jata hai dil
kis se pyare ki dilate hain ye mujh ko yaad ab
aur mujhe apna samajh kar main bulate sab ke sab
gham bhula dunga main un mein aur luTunga bahaar
shaKH par ghunche khilenge aur kumhla jaenge
hans hansa kar ek ghaDi ke baad murjha jaenge
zindagi mein maut ka kyon gham karen kyon dukh yahin
is riyaz-e-dahr mein jab tak rahen hanste rahen
un se sikhunga main hansna aur luTunga bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.