phulon ki sej par
jab tum vo paḌhnā chāhte ho
jo mujhe likhnā nahīñ aatā
aur nā-umīd ho kar apne chehre ke nuqūsh badal dete ho
hamārī āñkhoñ ke beach saat zamīneñ aur
saat āsmān aa jaate haiñ
aur merī āñkheñ tārīḳh ke kho.e hue
aurāq DhūñDne lag jaatī haiñ
tum pūchhte ho aise kyuuñ dekhtī ho
maiñ vāpas aa jaatī huuñ
aur tumheñ sach-much dekhne lagtī huuñ
aise hī jaise tum chāhte ho
jab tum wo paDhna chahte ho
jo mujhe likhna nahin aata
aur na-umid ho kar apne chehre ke nuqush badal dete ho
hamari aankhon ke beach sat zaminen aur
sat aasman aa jate hain
aur meri aankhen tariKH ke khoe hue
auraq DhunDne lag jati hain
tum puchhte ho aise kyun dekhti ho
main wapas aa jati hun
aur tumhein sach-much dekhne lagti hun
aise hi jaise tum chahte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.