phulon ki shahzadi
Interesting Fact
From Part-3. 1908 (Bang-e-Dara)
kalī se kah rahī thī ek din shabnam gulistāñ meñ
rahī maiñ ek muddat ġhuncha-hā-e-bāġh-e-rizvāñ meñ
tumhāre gulistāñ kī kaifiyat sarshār hai aisī
nigah firdaus dar-e-dāman hai merī chashm-e-hairāñ meñ
sunā hai koī shahzādī hai hākim us gulistāñ kī
ki jis ke naqsh-e-pā se phuul hoñ paidā bayābāñ meñ
kabhī saath apne us ke āstāñ tak mujh ko tū le chal
chhupā kar apne dāman meñ ba-rañg-e-mauj-e-bū le chal
kalī bolī sarīr-ārā hamārī hai vo shahzādī
daraḳhshāñ jis kī Thokar se hoñ patthar bhī nagīñ ban kar
magar fitrat tirī uftinda aur begam kī shaan ūñchī
nahīñ mumkin ki tū pahuñche hamārī ham-nashīñ ban kar
pahuñch saktī hai tū lekin hamārī shāhzādī tak
kisī dukh dard ke maare kā ashk-e-ātishīñ ban kar
nazar us kī payām-e-'īd hai ahl-e-moharram ko
banā detī hai gauhar ġham-zadoñ ke ashk-e-paiham ko
kali se kah rahi thi ek din shabnam gulistan mein
rahi main ek muddat ghuncha-ha-e-bagh-e-rizwan mein
tumhaare gulistan ki kaifiyat sarshaar hai aisi
nigah firdaus dar-e-daman hai meri chashm-e-hairan mein
suna hai koi shahzadi hai hakim us gulistan ki
ki jis ke naqsh-e-pa se phul hon paida bayaban mein
kabhi sath apne us ke aastan tak mujh ko tu le chal
chhupa kar apne daman mein ba-rang-e-mauj-e-bu le chal
kali boli sarir-ara hamari hai wo shahzadi
daraKHshan jis ki Thokar se hon patthar bhi nagin ban kar
magar fitrat teri uftinda aur begam ki shan unchi
nahin mumkin ki tu pahunche hamari ham-nashin ban kar
pahunch sakti hai tu lekin hamari shahzadi tak
kisi dukh dard ke mare ka ashk-e-atishin ban kar
nazar us ki payam-e-'id hai ahl-e-moharram ko
bana deti hai gauhar gham-zadon ke ashk-e-paiham ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.