pichhle janm kei ek nazm
mujhe lagtā hai
zamīn ke kisī gumnām mantaqe meñ
ham kabhī saath saath rahte the
mujhe ab tumhārā naam yaad nahīñ
tumhārī shakl bhī yaad nahīñ
magar ye lagtā hai
ki shāyad ka.ī sadiyāñ pahle
kisī pichhle janm kī sīḌhiyoñ par
ham saath saath baiThte the
vo sīḌhiyāñ kahāñ thiiñ
aur pichhlā janm kahāñ huā thā
mujhe to yaad nahīñ
shāyad tum ko bhī yaad na hogā
haañ bas itnā yaad hai
ek chhoTe se ghar meñ
ham sar-e-shām devtā ke liye diye jalāte the
aur diyoñ ke qarīb ek panchhī rahtā thā
jo bādal barkhā aur dhuup ke giit gaatā thā
giit sunte sunte
aur diye bujhne se pahle hī
ham namdoñ par so jaate the
aur phir ham donoñ mil kar
ek jaisā koī ḳhvāb dekhte the
bahut se tālāboñ jañgaloñ
aur bāġhoñ kā ḳhvāb
sub.h-dam añgnā.ī meñ sūraj utar aatā thā
panchhī peḌoñ par
aur ek bādal chhat par baiTh jaatā thā
phir ham chaukhaT par baiTh kar
rangoñ kī bāzgashteñ sunte hue
ek tālāb ko dekhte rahte the
mujhe lagtā hai ye ham hī the
jo tālāb kī taraf dekhte aur bāzgashteñ sunte the
haañ shāyad ham hī the
ab ye yaad nahīñ us samay hamāre naam kyā the
mujhe lagta hai
zamin ke kisi gumnam mantaqe mein
hum kabhi sath sath rahte the
mujhe ab tumhaara nam yaad nahin
tumhaari shakl bhi yaad nahin
magar ye lagta hai
ki shayad kai sadiyan pahle
kisi pichhle janm ki siDhiyon par
hum sath sath baiThte the
wo siDhiyan kahan thin
aur pichhla janm kahan hua tha
mujhe to yaad nahin
shayad tum ko bhi yaad na hoga
han bas itna yaad hai
ek chhoTe se ghar mein
hum sar-e-sham dewta ke liye diye jalate the
aur diyon ke qarib ek panchhi rahta tha
jo baadal barkha aur dhup ke git gata tha
git sunte sunte
aur diye bujhne se pahle hi
hum namdon par so jate the
aur phir hum donon mil kar
ek jaisa koi KHwab dekhte the
bahut se talabon jangalon
aur baghon ka KHwab
subh-dam angnai mein suraj utar aata tha
panchhi peDon par
aur ek baadal chhat par baiTh jata tha
phir hum chaukhaT par baiTh kar
rangon ki bazgashten sunte hue
ek talab ko dekhte rahte the
mujhe lagta hai ye hum hi the
jo talab ki taraf dekhte aur bazgashten sunte the
han shayad hum hi the
ab ye yaad nahin us samay hamare nam kya the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.