pichhle pahar ki raat
pichhle pahar kī raat ajab hādisa huā
sone se pahle chāñd hī
bāñhoñ ko khol kar
jhuk kar zamīñ pe aa gayā
qadmoñ ko chhū liyā
uñglī pakaḌ ke saath meñ apne vo le gayā
pahle to der tak mujhe vo dekhtā rahā
pahlū meñ rakh ke sar mire
phir siskiyāñ bharīñ
phir yuuñ huā ki
TuuT ke rone lagā thā vo
shāyad kisī ke hijr kā maarā huā thā vo
jaise vo merī niiñd ke dāman kā ek pal
vo pal vahīñ pe sākit-o-jāmid Thahar gayā
pichhle pahar ki raat ajab hadisa hua
sone se pahle chand hi
banhon ko khol kar
jhuk kar zamin pe aa gaya
qadmon ko chhu liya
ungli pakaD ke sath mein apne wo le gaya
pahle to der tak mujhe wo dekhta raha
pahlu mein rakh ke sar mere
phir siskiyan bharin
phir yun hua ki
TuT ke rone laga tha wo
shayad kisi ke hijr ka mara hua tha wo
jaise wo meri nind ke daman ka ek pal
wo pal wahin pe sakit-o-jamid Thahar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.