pichhli baaten yaad aati hain
zaḳhmī tan hai
man be-kal hai
pichhlī bāteñ yaad aatī haiñ
milte raste
jin pe ham tum
hañste gaate dauḌ rahe the
dil meñ koī ḳhauf nahīñ thā
phuul khile the
raste raste
barkhā kitnī
albelī thī
bhole-bhāle
vo sapne the
merī ammī
mere abbā
merī bahneñ
mere bhayyā
ham sab kitne
ḳhush ḳhush se the
ab kuchh aisī baat huī hai
ghar bhī vahī hai
log vahī haiñ
rut bhī vahī hai
raste vo hī
lekin maiñ to
bichhaḌ ga.ī huuñ
zaKHmi tan hai
man be-kal hai
pichhli baaten yaad aati hain
milte raste
jin pe hum tum
hanste gate dauD rahe the
dil mein koi KHauf nahin tha
phul khile the
raste raste
barkha kitni
albeli thi
bhole-bhaale
wo sapne the
meri ammi
mere abba
meri bahnen
mere bhayya
hum sab kitne
KHush KHush se the
ab kuchh aisi baat hui hai
ghar bhi wahi hai
log wahi hain
rut bhi wahi hai
raste wo hi
lekin main to
bichhaD gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.