pichhli raat
raat kamre meñ hī bhaTaktī rahī
niiñd bhī be-qarār thī merī
ḳhvāb bhī ūñghne lage saare
mujh ko bistar bulā rahā thā bahut
karvaTeñ dekhne lagī rasta
aur tanhā.ī shor karne lagī
jāgte jāgte thakā maiñ bhī
aur phir sub.h sub.h āḳhir-kār
maiñ tirī yaad oḌh kar soyā
raat kamre mein hi bhaTakti rahi
nind bhi be-qarar thi meri
KHwab bhi unghne lage sare
mujh ko bistar bula raha tha bahut
karwaTen dekhne lagi rasta
aur tanhai shor karne lagi
jagte jagte thaka main bhi
aur phir subh subh aaKHir-kar
main teri yaad oDh kar soya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.