picnic
samāñ suhānā thā ThanDī huā ke jhoñkoñ se
badan ko tāzgī miltī thī ruuh meñ jaise
izāfa hotā sā mahsūs ho rahā thā mujhe
fazā meñ uḌte hue mast abr ke TukḌe
ye lag rahā thā bahāroñ ke haiñ faristāde
ḳhayāl aayā ki mausam kā lutf leñ sab dost
mare to jaate haiñ jiine ko aaj khul ke ji.eñ
aziim shahr kī ālūda is fazā se pare
kahīñ bhī mil ke chaleñ saath baiTheñ khā.eñ piyeñ
mirā paḌosī baḌā pyārā aadmī thā use
galī meñ aan ke āvāz dī ġhulām-rasūl
ma.an mujhe ye ḳhayāl aayā merā ham-sāya
ab is jahāñ meñ nahīñ ban chukā hai vaqt kī dhuul
jo pichhle saal achānak bhaḌak uThe the yahāñ
vo firqa-vārī fasādāt khā ga.e us ko
saman suhana tha ThanDi hua ke jhonkon se
badan ko tazgi milti thi ruh mein jaise
izafa hota sa mahsus ho raha tha mujhe
faza mein uDte hue mast abr ke TukDe
ye lag raha tha bahaaron ke hain faristade
KHayal aaya ki mausam ka lutf len sab dost
mare to jate hain jine ko aaj khul ke jien
azim shahr ki aaluda is faza se pare
kahin bhi mil ke chalen sath baiThen khaen piyen
mera paDosi baDa pyara aadmi tha use
gali mein aan ke aawaz di ghulam-rasul
man mujhe ye KHayal aaya mera ham-saya
ab is jahan mein nahin ban chuka hai waqt ki dhul
jo pichhle sal achanak bhaDak uThe the yahan
wo firqa-wari fasadat kha gae us ko
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 13)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.