pile diye
ho tasavvur ishq kā aur ho syāhī raat kī
umr nāzuk mom sī ho shab ho is baat kī
shahar kī ThanDī havā chehre pe maiñ letā huā
ḳhush-nasībī kā vo imkāñ jaise ho pahlā juā
thak ga.e jo shor se to ghar ko jaa.e mai piye
Taar kī lambī saḌak ho us pe hoñ piile diye
umr jaise kaT rahī ho aur ghaTtī bhī na ho
ishq kī kaalī ghaTā ho aur chhaTtī bhī na ho
us ke ḳhat kī raah dekhūñ vaqt maiñ zaa.e.a karūñ
aur us ke ḳhvāb meñ bhī kaash maiñ aayā karūñ
ḳhushbū yak dam phuul kī ho ho dhueñ ke silsile
Taar kī lambī saḌak ho us pe hoñ piile diye
ho suhānī taḳhliya ho ġham jo Talne vaalā ho
yaar merā saath mere aah bharne vaalā ho
jaise saḌkeñ bhī yahāñ bistar ke jaisī narm hoñ
ho to sardī sard lekin lams us kā garm ho
merī adnā zindagī ho us ke adnā marhale
Taar kī lambī saḌak ho us pe hoñ piile diye
ye bhī toḌe jā rahe ho āshiyāñ banñe to do
maiñ to būḌhā bhī nahīñ nostalgia banñe to do
kalpvriksh aur aab āb-e-kausar sochte ho daur kī
sharm hai gar chaah ho us shahar meñ bhī huur kī
jannatoñ kā hai tasavvur bas yahī mere liye
Taar kī lambī saḌak ho us pe hoñ piile diye
mujh ko jharnoñ kī havas na.ī aur kañval na hī jhiil kī
mujh ko chiḌh bhī hai nahīñ is factory us miil kī
ik bachā hai laal sūraj us ko to tum rahne do
us ke mukhḌe kā jo TukḌā chāñd vo to rahne do
varna phir to is shahar meñ kyā mare aur kyā jiye
Taar kī lambī saḌak ho us pe hoñ piile diye
ho tasawwur ishq ka aur ho syahi raat ki
umr nazuk mom si ho shab ho is baat ki
shahar ki ThanDi hawa chehre pe main leta hua
KHush-nasibi ka wo imkan jaise ho pahla jua
thak gae jo shor se to ghar ko jae mai piye
Tar ki lambi saDak ho us pe hon pile diye
umr jaise kaT rahi ho aur ghaTti bhi na ho
ishq ki kali ghaTa ho aur chhaTti bhi na ho
us ke KHat ki rah dekhun waqt main zaea karun
aur us ke KHwab mein bhi kash main aaya karun
KHushbu yak dam phul ki ho ho dhuen ke silsile
Tar ki lambi saDak ho us pe hon pile diye
ho suhani taKHliya ho gham jo Talne wala ho
yar mera sath mere aah bharne wala ho
jaise saDken bhi yahan bistar ke jaisi narm hon
ho to sardi sard lekin lams us ka garm ho
meri adna zindagi ho us ke adna marhale
Tar ki lambi saDak ho us pe hon pile diye
ye bhi toDe ja rahe ho aashiyan banne to do
main to buDha bhi nahin nostalgia banne to do
kalpwriksh aur aab aab-e-kausar sochte ho daur ki
sharm hai gar chah ho us shahar mein bhi hur ki
jannaton ka hai tasawwur bas yahi mere liye
Tar ki lambi saDak ho us pe hon pile diye
mujh ko jharnon ki hawas nai aur kanwal na hi jhil ki
mujh ko chiDh bhi hai nahin is factory us mil ki
ek bacha hai lal suraj us ko to tum rahne do
us ke mukhDe ka jo TukDa chand wo to rahne do
warna phir to is shahar mein kya mare aur kya jiye
Tar ki lambi saDak ho us pe hon pile diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.