piryaa darshani indara gandhi
ik laḌkī thī kitnī pyārī
indarā us kā naam
us kā bachpan naT-khaT chanchal shor machātā guzrā
us kā azm qadam qadam par laavā bin kā biphrā
ik laḌkī thī kitnī pyārī
indarā us kā naam
us ke andar kitne tūfānoñ kī rañg bharī shaktī thī
us ke andar mānavtā kī aag ubaltī rahtī thī
ik laḌkī thī kitnī pyārī
indarā us kā naam
sāmrāj se Takrā.ī thī jab us kī bānar senā
sukh ke din bītīñ sab ke āzādī ho din rainā
ik laḌkī thī kitnī pyārī
indarā us kā naam
'gāñdhī' aur 'nehrū' kī virāsat us beTī ke naam aa.ī
is miTTī se tilak rachāo jis dhartī ke kaam i
ik laḌkī thī kitnī pyārī
indarā us kā naam
bachcho karo parnām
ek laDki thi kitni pyari
indara us ka nam
us ka bachpan naT-khaT chanchal shor machata guzra
us ka azm qadam qadam par lawa bin ka biphra
ek laDki thi kitni pyari
indara us ka nam
us ke andar kitne tufanon ki rang bhari shakti thi
us ke andar manawta ki aag ubalti rahti thi
ek laDki thi kitni pyari
indara us ka nam
samraj se Takrai thi jab us ki banar sena
sukh ke din bitin sab ke aazadi ho din raina
ek laDki thi kitni pyari
indara us ka nam
'gandhi' aur 'nehru' ki wirasat us beTi ke nam aai
is miTTi se tilak rachao jis dharti ke kaam i
ek laDki thi kitni pyari
indara us ka nam
bachcho karo parnam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.