piya KHamosh hai mera
bahut gum-sum bahut ḳhamosh hai
vo chand arse se
samajh meñ kuchh nahīñ aatā
ki āḳhir mājrā kyā hai
vahī mausam vahī chāhat
vahī rañgat bhī phūloñ meñ
magar ik us ki ḳhamoshī ne is pur-kaif mausam ko
hamāre vāste mausam ḳhizāñ kā banā Daalā
parinde ab bhī bāġhoñ meñ chahakte haiñ
ghaTā.eñ ab bhī aatī haiñ
havā.eñ ab bhī chaltī haiñ
magar phir bhī masarrat dil ko kyuuñ hāsil nahīñ hotī
vaj.h ye hai
piyā ḳhamosh hai merā
bahut gum-sum bahut KHamosh hai
wo chand arse se
samajh mein kuchh nahin aata
ki aaKHir majra kya hai
wahi mausam wahi chahat
wahi rangat bhi phulon mein
magar ek us ki KHamoshi ne is pur-kaif mausam ko
hamare waste mausam KHizan ka bana Dala
parinde ab bhi baghon mein chahakte hain
ghaTaen ab bhi aati hain
hawaen ab bhi chalti hain
magar phir bhi masarrat dil ko kyun hasil nahin hoti
wajh ye hai
piya KHamosh hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.