piyare bachchon ki piyari tamannaen
go uḌāte haiñ abhī dhūleñ ham
chāhte haiñ ki falak chhū leñ ham
ho buzurgoñ kī duāoñ meñ asar
bāġh-e-hastī meñ phaleñ-phūleñ ham
ilm kā shauq ho dil meñ itnā
sabaq apnā na kabhī bhūleñ ham
shād-o-ābād rahe ye bachpan
aur jhūloñ pe yūñhī jhūleñ ham
quvvat-e-ḳhair atā ho itnī
Dhīlī shar kī kareñ sab chūleñ ham
apnī taqdīr ke ham haiñ me.amār
apnā mansab na kabhī bhūleñ ham
go uDate hain abhi dhulen hum
chahte hain ki falak chhu len hum
ho buzurgon ki duaon mein asar
bagh-e-hasti mein phalen-phulen hum
ilm ka shauq ho dil mein itna
sabaq apna na kabhi bhulen hum
shad-o-abaad rahe ye bachpan
aur jhulon pe yunhi jhulen hum
quwwat-e-KHair ata ho itni
Dhili shar ki karen sab chulen hum
apni taqdir ke hum hain meamar
apna mansab na kabhi bhulen hum
- Book : Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 53)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.