krishn
mathurā ki nagar hai āshiqī kā
dam bhartī hai aarzū isī kā
har zarra-e-sar-zamīn-e-gokul
daarā hai jamāl-e-dilbarī kā
barsānā-o-nand-gāñv meñ bhī
dekh aa.e haiñ jalva ham kisī kā
paiġhām-e-hayāt-e-jāvedāñ thā
har naġhma-e-krishn bāñsurī kā
vo nūr-e-siyāh yā ki hasrat
sar-chashma faroġh-e-āgahī kā
mathura ki nagar hai aashiqi ka
dam bharti hai aarzu isi ka
har zarra-e-sar-zamin-e-gokul
dara hai jamal-e-dilbari ka
barsana-o-nand-ganw mein bhi
dekh aae hain jalwa hum kisi ka
paigham-e-hayat-e-jawedan tha
har naghma-e-krishn bansuri ka
wo nur-e-siyah ya ki hasrat
sar-chashma farogh-e-agahi ka
- Book : Hindustan Hamara(Vol-1) (Pg. 383)
- Author : jan nisar akhtar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.