shri-krishn
haiñ jasodhā ke liye zīnat-e-āġhosh kahīñ
gopiyoñ ke bhī tasavvur se haiñ rū-posh kahīñ
dvārkā-jī kā basānā to mubārak lekin
kar na deñ brij kī galiyoñ ko farāmosh kahīñ
khā ke tandul kahīñ e.azāz sudāmā ko diyā
saag ḳhush ho ke 'bidur-jī' kā kiyā nosh kahīñ
ḳhud bachan de ke 'jarā' sindh se ran meñ bhāge
rahe bad-goī-e-shishupāl pe ḳhāmosh kahīñ
dvārkā-dhīsh kahīñ ban ke mukuT sar pe rakhā
kaalī kamlī rahī jañgal meñ sar-e-dosh kahīñ
gopiyāñ sun ke murliyā huiiñ aisī betāb
gir ga.e haar kahīñ rah ga.ī pā-posh kahīñ
madh-bhare nain se āñkheñ na milāo 'kaifī'
log mash.hūr na kar deñ tumheñ mai-nosh kahīñ
hain jasodha ke liye zinat-e-aghosh kahin
gopiyon ke bhi tasawwur se hain ru-posh kahin
dwarka-ji ka basana to mubarak lekin
kar na den brij ki galiyon ko faramosh kahin
kha ke tandul kahin eazaz sudama ko diya
sag KHush ho ke 'bidur-ji' ka kiya nosh kahin
KHud bachan de ke 'jara' sindh se ran mein bhage
rahe bad-goi-e-shishupal pe KHamosh kahin
dwarka-dhish kahin ban ke mukuT sar pe rakha
kali kamli rahi jangal mein sar-e-dosh kahin
gopiyan sun ke murliya huin aisi betab
gir gae haar kahin rah gai pa-posh kahin
madh-bhare nain se aankhen na milao 'kaifi'
log mashhur na kar den tumhein mai-nosh kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.